Sunday, October 21, 2018

ISTINJAA KARNE KA HUKM

*ISTINJAA KARNE KA HUKM*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1520⭕

Mene chhota aur badaa istinjaa kiya uske baad dekha ke baitul Khala me paani nahin tha aur koyi intizam na ho saka to me wahaan se uth gaya, ab me aisi haalat me masjid me aa sakta hun aur namaz padh sakta hun?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Agar peshab aur pakhana nikalne ki jagah se aaju baju faila nahi hai na-paaki sirf nkalne ki jagah par hi lagi hai to istinjaa karna sunnat hai

Agar na-paaki nikalne ki jagah se aage badh gayi hai aur woh nikalne ki jagah ko chhod kar andaza kiya jaaye to patli najaasat dirham ya'ani hatheli gehrayi se ziyadah na faili ho to bhi uska dhona sunnat hai aur hatheli ki gehrayi se ziyadah faili ho to uska dhona waajib hai aur garhi (thick) najasat ho to uska failav nahin dekhenge balke uska wazan dekhenge uska wazan ek dirham ya'ani 4 gram 374 mili gram se ziyadah ho to uska dhona waajib hai, aisi najasat ke saath na masjid me aana jaiz, na uski namaz hogi,

Haan dirham se kam hogi uska dhona sunnat hai to us haalat me masjid me aa sakte hain, namaz bhi ho jayegi lekin us kam najasat ka bhi dho lena behtar hai pura gusal karne ki zarurat nahin.

📗UMDATUL FIQA 1/325

📘MASAILUL MEEZAN SAFA 38

و الله اعلم بالصواب

*ISLAMI TAREEKH* :10  SAFARUL MUZAFFAR 1440 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.

🕌 Ustad e Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India

*WEB SITE*
Naye msg ke liye www.aajkasawal.in

Purane aksar msg ke liye

Twitter:
https://goo.gl/szhij4

Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k

YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq

Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...