Thursday, October 4, 2018

SAANS JAARI RAKHNE KI MACHINE (MASHIN) KO HATAANA

*SAANS JAARI RAKHNE KI MACHINE (MASHIN) KO HATAANA*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1503⭕

Aisa Mareez jo marne ke qareeb ho uski dil ki harkat ko aur saans ko jaari rakhne ke liye uski machinery lagayi jaati hai us machinery ko hataa diya jaye to mar jata hai aur machinery kayi din tak lagi rehti hai aur mareez ke bachne ki ummeed na hone ke bawajood hospital ka bil bante rehta hai to kya machinery ko hataana jaiz hai?

Kahin qatl ke hukm me to nahin?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Aise mareez ke jism se zindagi baaqi rakhne ke machine lagaaye gaye ho, agar uske dimag ka kaamkaaj mukammal taur par bandh ho jaaye aur 3 maahir jaankaar doctor's is par muttafiq (ek-mat, sehmat) hon ke ab yeh kaamkaj dobarah shurua nahin ho sakega to us mareez ke jism se lagi huyi machinery hataa lena durust hai, chahe us machine ki wajah se mareez me dil ki harkat aur saans ka nizam baaqi ho, albattah mareez ki maut shar'an us waqt se muatabar maani jayegi jab un machinery ke hatane ke baad dil aur saans apna kaam band kar den.

📗ASRE HAAZIR KE PECHIDAH MASAAIL KA SHARAEE HAL

✒MURATTIB QAZI MUJAHIDUL SLAM SAHAB RAHMATULLAHI ALAYHI SAFAH 189
BA HAWALA
📘FATAWA ZAKARIYAH 6/732

Agar mareez saans jaari rakhne ki mashin par ho aur doctor's ne mareez ki zindagi aur fitri (qudrati) taur par saans ka nizam dobarah chalu hone se maayusi zaahir kar di to wurasa ke liye jaiz hoga ke saans jaari rakhne ke machine alahida kar den

📕NAYE MASAIL AUR ISLAMI FIQAH E AECEDAMY KE FAISLE. SAFAH 219

و الله اعلم بالصواب

*ISLAMI TAREEKH* : 22 MUHARRAMUL HARAAM 1440 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.

🕌 Ustad e Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.

📲💻
  *اَلْحَمْدُلِلّهِ. NAYI WEB SITE*
www. aajkasawal.in

Twitter:
https://goo.gl/szhij4

Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k

YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq

Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab a

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...