Wednesday, October 31, 2018

💊MEDICAL. INSURANCE LENE KA HUKM

*💊MEDICAL. INSURANCE LENE KA HUKM*💉

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1532⭕

Medical insurance lena kaisa hai?

Agar ba'az mulkon me jaane ke liye lena zaruri ho to le sakte hain?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Medical insurance sood, juwa, zulm aur dhoke ka majmooah hai is me jitne paise bhare hote hain bimar hone ki surat me us se ziyadah milte hain jo sood hai jiska haraam hona Qur'an se saabit hai,

Bimar ho to nafa ke saath paise milenge, na ho to to nahin milenge, asal paise bhi jayenge paise wapas milne me nafa nuqsan dono imkan hai, lihaza juwe ka bhi gunah hai jiska haraam hona bhi Qur'an se saabit hai

📗SURAH E MAIDAH AYAT 90

Yeh muaamala bhi hai lihaza bimar na hone ki surate me asal paise bay`aanah wapas milna chahiye jo nahin milte lihaza ye zulm bhi hai, Apne paise wapas lene ke liye ya bimari ka kharch kam ho to ziyadah lene ke liye juth dhoka aur rishwat bhi diya jaata hai, lihaza medical insurance me sood, juwa, dhoka, juth, rishwat ke gunah paaye jaane ki wajah se haraam hai.

📘MAHMOODUL FATAWA JILD 3 SAFA 384
BA HAWALA

📕MEDICAL INSURANCE SHAREEATE ISLAMI KI ROSHNI ME SAFA 90

Agar kisi mulk ka qanoon ho aur lena zaruri ho to majboori hai isliye le sakte hain

📗KITABUN NAWAZIL 289
و الله اعلم بالصواب

*ISLAMI TAREEKH* : 22 SAFARUL MUZAFFAR 1440 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.

🕌 Ustad e Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India

*WEB SITE*
Naye msg ke liye
www.aajkasawal.in

Purane aksar msg ke liye
Twitter:
https://goo.gl/szhij4

Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k

YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq

Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...