Tuesday, April 10, 2018

SHABE MEARAJ KI IBADAT BID'AT KYUN ?*

*SHABE MEARAJ KI IBADAT BID'AT KYUN ?*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1322⭕

Shabe maeraj me ibadat karna bid'at kyun ?

So jaane se achchha ibadat karna kyun nahin ?

🔵 AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

*(msg 1321 se aage)*

*USKE BARABAR KOI AHMAQ (bewaquf) NAHIN*
   
Fir Sarkar e Do Aalam Sallallahu Alayhi Wasallam ke duniya se tashrif le jane ke baad 100 saal tak Sahaba e kiram Razi Allahu Anhum Duniya me maujood rahe, is poori Sadi (100 years) me koyi ek waqia aisa sabit nahin hai, jisme Sahaba e kiram Razi Allahu Anhum ne 27 rajab ko Khaas ahtemam kar ke manaya ho, jo Cheez Huzoor e Aqdas Sallallahu Alayhi Wasallam ne nahin ki aur jo Aap Sallallahu Alayhi Wasallam ke Sahaba ne nahin kiya usko deen ka hissah qarar dena ya usko Sunnat qarar dena ya uske saath Sunnat jaisa Muamla karna BID’AT hai, agar koyi shakhs yeh kahe ke me (Ma’azallah) Huzoor Sallallahu alayhi Wasallam se ziyadah janta hu ke kaunsi raat ziyadah fazeelat wali hai ya koyi shakhs yeh kahe ke Sahaba e kiram Razi Allahu Anhum se ziyadah Mujhe Ibadat ka zauq hai, agar Sahaba ne yeh amal nahin kiya to me usko karunga, uske barabar koyi ahmaq nahin.

*BANYE SE SAYANA SO BAVLA*
      
Hamare walid Hazrat Mufti Muhammad Shafi’ sahib Qaddasallahu Sirrahu farmaya karte the ke Urdu me ek Misaal aur kahawat hai jo Hindustan ke andar mashhoor thi ab to log uske Maayne bhi nahin samajhte, woh yeh ke:
“BANYE SE SAYANA SO BAVLA”
Ya'ani jo shakhs yeh kahe ke me Tijarat me Baniye se ziyadah hoshiyar hun, me usse ziyadah tijarat ke Gur janta hun to haqeeqat me woh shakhs BAVLA ya'ani PAAGAL hai, is liye ke Baniye se ziyadah tijarat ke gur janne wala aur koyi nahin hai, yeh to aam Zarbul misaal ki baat thi.

*SAHABA E KRAM SE ZIYADAH DEEN KO JANNE WALA KAUN?*

Lekin jahaan tak deen ka talluq hai, haqeeqat yeh hai ke Sahaba r.d., Tabaeen aur Tabe Tabaeen deen ko sab se ziyadah janne wale, deen ko Khoob samajhne wale, deen par Mukammal taur par amal karne wale the, ab agar koi shakhs yeh kahe ke me unse ziyadah Deen ko janta hun ya unse ziyadah Deen ka zauq rakhta hun ya unse ziyadah Ibadat guzar hun to haqeeqat me woh shakhs paagal hai, woh deen ki Faham nahin rakhta.

*WOH DEEN ME ZIYADTI KAR RAHA HAI*

Ab agar koi shakhs is Roze ka ahtemam kare to woh Deen me apni taraf se ziyadti kar raha hai aur Deen ko apni taraf se ghad raha hai.

Lihaza is nuqte e Nazar se Roza rakhne Jaiz nahin.
Haan! Albatta agar koyi shakhs aam dino ki tarah isme bhi Rozah rakhna chahta hai to rakh le, iski mumaniyat nahin hai, lekin iski ziyadah FAZEELAT samajh kar, isko SUNNAT samajh kar, isko ziyadah mustahab aur ziyadah Ajr o Sawab ka Mujib samajh kar is din Rozah rakhne, ya us Raat me Jaagna durust nahin, balke BID’AT hai.

📗ISLAHI KHUTBAT
 
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

📱💻http://www.aajkasawal.page.tl

Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/IslamicGroup

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...