Monday, April 30, 2018

KAB AUR KITNE ROZE RAKHE?

*KAB AUR KITNE ROZE RAKHE?*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1341⭕

Shabe barat ke kitne roze rakhne hai aur kab?
aur is raat ki ibadat kab aur kon se din karni hai?

🔵 AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
Sha'ban ke mahine me huzoor صل اللہ علیہ وسلم kasrat se roze rakhte the jab puchha gaya to farmaya is raat me wafat ke fesle hote hai jab mera fesla ho to me pasand karta hun ke us waqt me roze se hun.(AL HADEES)
wese har mahine me 13,14,15 ke roze jise ”ayyame beez“kehte Sunnat hai lihaza chaho to is mahine ne me kasrat se roze rakho, ya in tin din me rakh lo ya shabe barat ke dusre din ek roza rakh lo.
india me 1 may magal ke din magrib baad se subah sadiq tak puri raat ya aksar raat ya jis qadar himmat ho ghar me ibadat karni hai aur budh ke din 2 may ko ek roza ralhna bhi kafi hai do roze rakhne ka hukm aashurah ki tarah is mahine me nahi hai albattah is mahine me jitne zayada roze ho sake rakha behtar hai
 
و اللہ اعلم
📗MADAILE SHABE BARAAT WA SHABE QADR SE MAKHOIZ.

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

📱💻http://www.aajkasawal.page.tl

Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/IslamicGroup

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...