Thursday, April 12, 2018

27 RAJAB KE ROZAH KA HUKM

*27 RAJAB KE ROZAH KA HUKM*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1423⭕

27 rajab ka rozah rakhna kaisa hai ? is baare me fazilat kee ba'az riwayat bhi mashhoor hain jo ba'az buzrogon kitab me bhi hai.

🔴AAJ KA JAWAB🔴

حامد و مصلیا و مسلما

khaas karke 27vi rajab hee ka rozah ziyadah fazeelat wala samjh kar ya 1000 rozah ke baraabar samajh kar aashoorah ke rozah ki tarah sunnat mustahab samjh kar rakhna jaiz nahi iske rakhne ka khaas aehtamam karna bid'at hai
.
Na Huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ne iska aehtamam kiya
Na sahaba rd.ne na tabieen ne, na tabea tabieen rh.ne na charon imamon rh. ne iska khas aetamam kiya.

Iske baare jo ahadees bayaan kee jatee hain un ko raeesul muhaddiseen dewbandi aur barelvi hazrat ke muatamad aur maane huve Shah Abdul Haaq muhaddise dehalvi Rahmatullahi Alayhi ne apni maheeno ke bare me kitab
📔maa sabat minas sunnah safa 74
me mawzooa-manghadat ya intihaee zaeef qarar diya hai.
Allamah siyootee Rahmatullahi alayhi ne
📙al laaliyul masnooa fee ahaadeesil mavzooa 2/97 me is ke fazail manghdat qarar diya
Mulla alee qaree Rahmatullahi alayhi ne bhi mawzoor farmaya hai
📓Al masnooa fee ahadeesil mawzooa safa 291.

Hazrat umar RADEEYALLAHU ANHU  ba qaidah gasht karte the aur jisne rajab ko khaas rozah rakha ho uske samne khana rakh kar tudwate the aur farmate the rajab, rajab kya hai!

Ahle jahiliyat uski ta'azim karte the islam aaya to uski ta'azim chhod dee gayi.

📗majmauz zawaid 3/194

📘Islahee khutbat jild 1 mahe rajab

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Www.aajkasawal.page.tl

Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/IslamicGroup

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...