Friday, April 13, 2018

MEARAJ KAISE HUYI ?* *ALLAH KO DEKHA?

*MEARAJ KAISE HUYI ?*
*ALLAH KO DEKHA?*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1325⭕

A.
Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم   ko mearaj khwab me huyi ya bedari (jagte) me huyi?

B.Allah ko apni aankhon se dekha ya nahin?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
A.
Hazrat hakeemul ummat maulana Ashraf Ali Thanvi Rahmatullahi Alayhi ne sirat ki kitab *NASHRU TEEB* me likha hai ke jumhoor ahle sunnat wal jama'at ka aqeedah hai ke  صلی اللہ علیہ وسلم ko mearaj jism ke saath bedari me huyi hai aur is par ijmaa (sab ek faisle par muttafiq) hai daleel is ijmaa ki yeh mustanad (muatabar) baten hain. Fir aage dalaail likhe hain.
📗NASHURU TEEB SAFA 80

Alallamah suhayli ne *Rawzul anf sharhe ibne hisham* me likha hai ke muhallab ne sharhe bukhari me saaba ki ek jama'at ka qaul likha hai ke mearaj do martabah huyi ek martabah jism ke saath bedari me dusri martabah khawab me

📘RAWZUL ANF SAFA 244 JILD 1

Is se ma'alum huva ke jin hazraat ne kahaa ke me'araj khwab me huyi hai unhone pehle waqiye ke baare me kahaa, warna dusra waqiya jo Qur'an e karim aur ahadise mutawaatirah se saabit hai woh be shak bedari me huyi hai

📕AAP KE MASAIL AUR UN KA HAL 1/314

B. Is baare me sahaba Radeeyallahu anhum ka pehle se ikhtilaf hai sahih yeh hai ke dekha hai lekin dekhne ki kaifiyat maloom nahin.

📔AAP KE MASAIL 1/315
BAHAWALA

📗MISHKAT SAFA 501

📘SHARHE AQEEDATUT TAHAWI

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/IslamicGroup

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...