Thursday, November 17, 2016

🏨MAKAAN BANNE SE PEHLE BECHNAME KI NA JAIZ & JAIZ SURAT

🏨MAKAAN BANNE SE PEHLE BECHNAME KI NA JAIZ & JAIZ SURAT

⭕AAJ KA SAWAL NO.844⭕

Builder zameen kharidkar makaanat aur dukaanat taamir karva kar bechte hain. makaan taiyyar hone se pehle Woh us ka plan aur naqshah ya tasweer banaa kar un me se khareedar ko  ki pasand ke mutabiq makaan bechte hain,

makaan ki kul size kamre ki taadad aur size wagairah Tafsilat bataa dete hain aur kehte hain filhaal tum ko itni raqam deni hogi aur aayindah hafta(instalments) system se har maheene itne itne rupiye dekar kul majmuyi itni raqam deni hogi aur building taiyyar hone par tum ko qabzah denge

zaid ne istarah ke builder se ek makaan khareeda Chand qisten-hafte adaa karne ke baad nafaa (profit) lekar bakar ko bech diya bakar ne bhi chand hafte adaa karne ke baad nafa lekar umar ko bech diya aur umar ne bhi mukammal hone se pehle hee chand hafte adaa kar ke khalid ko bech diya

sawal yeh hai ke makaan mukammal hone aur qabzah se pehle is tarah nafaa lekar bechna sahih hai?

🔴AAJ KA JAWAB🔴

حامدا و مصليا و مسلما
Builder ne jo muamalah kiya woh *jaaiz* hai use بيع الاستصناع bay e istisna order dekar kisi cheez banwane ka muaamalah karna kehte hain
(KAL KE MSJ ME IS SURAT KA JAWAZ KA ALAG HUKM BAYAN NAHI KIYA THA)
Lekin ba'ad walo ne jo muaamala kiya woh durust nahin  jo cheez pure risk aur qabzah me nahin aayi hai us ka bechna jaiz nahin.

📗halal haram wazih hai 1/154
bahawala mahmoodul fatawa 2/467

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRALAHU

MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

*SURAT JILEY KA IJTIMA INSHA ALLAH 18,19,20 NOV. BAROZ JUMAA, SANICHAR AUR ITVAAR KO UNN GAAUN ME HOGA SABHI SAATHI SE DARKHWAST HAI KE KHUD BHI PAHONCHE AUR DAWAT BHI KHOOB CHALAAYE AUR IJTIMA KE KAAMIYABI KE LIYE DUA BHI KAREN*

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...