Sunday, November 13, 2016

NAFE KI HAD limit of profit

NAFE KI HAD
*limit of profit*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 841⭕

Shareeat me nafe ki koi tadad muqarrar hai ke nahi ? Zyadah se zayadah kitna nafa le sakte hai ?

🔵Jawab🔵

Shareeat me nafe ki koi ta'adad muqarrar nahi, lekeen had (lemit) se zayadah nafa bemuruwwati (begairati) hai.

Zayadah nafa lene ki gunjaish to hai lekin Agar samne wala shakhs khareedne me ya bechne par majboor hai to agarche woh apni razamandi se hi soda karega lekeen halaat aur majbooree ka faidah uthakar bahut kam daam me khareedna aur bahut zayadah daam me bechna bemuruwwati (begairati) hokar mana hai

📕FATAWA MAHMOODIYAH 16/48

*nabi e kareem صل اللہ علیہ وسلم ne majboori ke sode se mana farmaya hai.*

📗ABU DAWOOD 124/2

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...