Wednesday, November 9, 2016

NOTE BADALNE KI SURATEN

💵NOTE BADALNE KI SURATEN

⭕AAJ KA SAWAL NO.837⭕
1000,(ek hazaar) ya 500 (panchso) ki note dekar kam paise masalan 900 (nawso) ya 450 (charso pachaas) rupiye lena kaisa hai?

Agar na jaIz ho to abhi Ke haalaat me jaiz shakal kiya hai?

🔵Jawab🔵

Hazaar ya panchso rupiye dekar kam paise ka len den rupiye ke muqabale me rupiye hone ki wajah se soodee(interest)muamalah hai.
Lene wala aur dene wala dono sakht gunehgar aur la'anat ke mustahiq hai.
aisa hargiz nahi karna chahiye.
Jaiz shakal yeh hai ke hazaar ke muqabale me nawso diye jaye aur saath me misal ke taur par ek das rupiyewala pen wagairah koi cheez di jaye to 900 rs.ke muqabale me 900 rs.aur so ruiye kam de raha hai is ke muqabalah aur badle me  das rupiyewala pen ho jaye.

dusri misal ek lakh ke muqabalah me 85000 hazar aur 5000 rs. ka mobile 15000 me bech diya jaye to 85,000 ke muqabalah me 85,000 aur 15000 ke muqabalah aur aewaz me panch hazar wala mobile de diya jaye taake rupiye badle me barabar sarabar rupiya aur kami ke aewaz me mobile yani koi cheez ho jaye.
📗FIQHI MAQALAT
📘HIDAYAH RABIA BABUR RIBA SE MAKHOOZ

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...