Thursday, November 3, 2016

MUNCHH & DARHI KA SUNNAT KA TAREEQAH

MUNCHH & DARHI KA SUNNAT KA TAREEQAH

⭕AAJ KA SAWAL NO.832 ⭕

(1) MUNCHH KATNI CHAHIYE YA MUNDNI CHAHIYE ?
MUNCHH KE BARE ME ASAL SUNNAT KYA HAI?

(2)DARHI KAHAN KAHAN SE KAAT SAKTE HAI?DARHI KITNI RAKHNI CHAHIYE?

🔴JAWAB🔴

(1) MUNCH KO ITNA KAATA JAYE KE MUNDNE QAREEB HO JAYE.

📗[FATAWA MAHMOODIYYAH BA HAWALA SHAMI 2/550 KITABUL JINAYAT

📘BAHRUR RAAIQ 3/19]

HADEES SHAREEF ME IHFU AUR JUZWA KA LAFZ AAYA HAI JIS KE MAANA MUBALAGE YANI ZAYADA BARIK KARNA AATA HAI

📕(MUSLIM SHAREEF 1/129 BABU KHASAILE FITRAT

(TAHAWEE SHAREEF)

HONTHO KE BAL KO ITNA KATNA KE KINARAH NAZAR AA JAYE (YE BHI SAHEEH HAI)

AUR MUNDNE ME IKHTILAF HAI BAZON NE BID'AT AUR BAZON NE IJAZAT LIKHI HAI NA MUNDANE ME AETIYAT HAI.

(MIRQAT BAHISHTI ZEWAR 224)

SUNNAT YE HAI KE MUNCHHO KE BAAL KHUB BARIK KATAYE

📒( FATAWA ALAMGIRI)

(2) DARHI CHARO TARAF SE EK MUSHT-MUTHTHI SE ZAID KO KAATNA DURUST HAI.

KAAN KI LAW KE SAMNE KI HADDI KE UPAR KE BAAL SAR ME SHUMAR HOTE HAI. HADDI KE NICHE KE BAAL DARHI ME SHUMAR HOTE HAI USE KATNA HARAM HAI.

HONTH KE NICHE THODI KE BICH ME JO BAAL HOTE USE DARHI KA BACHCHA KEHTE HAI.WOH HISSA BHI DARHI KE HUKM ME HAI USE KATNA BHI HARAAM HAI.

📗(AL MINHAL 1/187)

BACHCHE KE AAJU BAJU KE BAAL YANI HONTHON KE NICHE KA DARMIYANI HISSA CHHODKAR US KE IRD GIRD KE BAAL KATNA BHI JAIZ HAI. USE CHHOD DENA AUR NA KAATNA BEHTAR HAI.

GAAL KE (HANSTE WAQT) UBHRE-FULE HUWE HISSE KE BAAL KATNA JAIZ HAI NA KATNA BEHTAR HAI.

📘( FAIZUL BARI 4/380)

📕( DARHI AUR ANBIYAA KI SUNNATEN SAFA 70,74)

GARDAN KE BAAL MUNDNA DURUST HAI.

📙(AHSANUL FATAWA 8/76)

DARHI MUNDNA YA EK MUSHT SE KAM KARNA HARAM HAI AUR AESA GUNAH JO HAR GHADI-HAR WAQT LAGATAAR HAMESHA JARI REHTA HAI.HATTA KE NAMAZ KE  WAQT AUR SONE KE WAQT BHI YE GUNAH BANDH NAHI HOTA LIHAZA KATNE AUR MUNDANE SE BACHNA WAJIB HAI.

📒DARHI KA WUJOOB HAZRAT SHAIKH ZAKARIYA رحمت اللّٰہ علیہ  KI

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl

💻📱
http://www.deeneemalumat.net

*📱💻Update Islamic Group App..*

_Naye category add hue  alhamdulillah.._

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...