Sunday, November 6, 2016

MUKHTALIF HALATON ME NIKAH KE MUKHTALIF HUKM

MUKHTALIF HALATON ME NIKAH KE MUKHTALIF HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO.834⭕
nikah karna kab farz,wajib, sunnat,haraam aur makrooh hota hai?

🔵JAWAB🔵

✪ Farz :-

⇛ Kisi shakhs par Shahwat ka is qadar galba ho k agar Nikaah na kare to zarur zinakari-badkari me mubtala ho ja’ega,

→ Aur usko baqadre zarurat nafqa-kharcha aur Mahar per haqeeqatan ya hukman (qarza lekar ya kisi ke dene se ) qudrat bhi haasil he,

→ Shar’an us per Farz he k Shaadi karke apni ismat-pakdamani ki hifazat karen

✪ Wajib: –

⇛ Agar kisi per Shahwat ka galba he ke Shaadi na kare to zina-badkari me mubtila hone ka khof he, lekin yaqeen nahi,

→ Aur usko bivi ke mahar aur kharcha dene per qudrat bhi haasil he,

→ aese shakhs per Shaadi karke apni ismat-pakdamani ki hifazat wajib

✪ Sunnat: –

⇛ Agar koi shakhs Nikaah ke qabil ho gaya, Naan nafqa-kharche per qudrat haasil he aur humbistari per bhi qudrat he, Nikaah se koi aur shara’i rukawat mojood nahi, aese shakhs ke liye Nikaah karke ba izzat zindgi guzaarna shar’an masnoon hai,

→ Kyuki ye Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka daa’imi-hameshgi ka amal he,

→ Aur Shaadi se Eraaz-na karne karne walo par Aap Sallallahu Alaihivasallam ne radd farmaya yani farmaya ke woh ham me se nahi hai.

→ lihaza aesa shakhs itteba e sunnat ki niyyat se apni ismat-burai se zat ki hifazat aur Saaleh aulaad ke husool ki niyat se Shaadi kare to ajro sawab Hoga

✪ Haraam: –

⇛ Agar kisi shakhs me Bivi ke huqooq adaa karne ki taaqat na ho,

→ maslan naa mard he, ya naano nafqa-kharche per haqeeqatan ya hukman taqat nahi, ya mizaaj me sakhti ho ke bivi par zulm karega

→Kisi vajah se usko yaqeen he ke Bivi ke huqooq adaa nahi ho sakenge,
→To ese shakhs ke liye nikah karna haraam hai

✪ Makrooh Tahrimi: –

⇛ Jis shakhs ko Bivi per zulm ka yaqeen to na ho lekin galib gumaan yahi he k zulm ho ja’ega huqooq me kotahi hogi

→To ese shakhs ke liye jab tak ada e huqooq per qudrat na ho Nikaah karna makrooh Tehrimi hai

📗IZDUWAJI ZINDAGI KE SHAREE MASAIL

📘DURRE MUKHTAR 7/3

✏HAQ KA DAI ANSAR AHMAD

®TASHEEH TASHEEL WA TASDEEQ

(MUFTI)IMRAN ISMAIL MEMON SURAT GUJRAT INDIA
📱Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe www.aajkasawal.page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...