Friday, November 11, 2016

💴10 SAAL KI ADVANCE ZAKAT

💴10 SAAL KI ADVANCE ZAKAT

⭕AAJ KA SAWAL NO. 839⭕

Abhi mavjoodah surate haal me paise kahaan lagaana yeh ek masla hai
Isliye mera iradah 10:Das,20:bis saal ki advance zakat nikalne ka hai to kya itne sab saal ki aise paiso se jisko log qanuni taur se nahi lete un paiso ko zakat me isteamaal kar ke mustahiq ko dena jaiz hai?
Sab salon ki zakat ada hogi?

🔵Jawab🔵

Mavjoodah halat me agarche purani badi note's bandh ho gayi hain lekin bank hospital wagairah ba'az jagah chalti hain aur gareeb aadmi unko naye paiso se tabdeel kar ke apni zarurat poori kar sakta hai lihaza das bis saal ki advance zakat aise paiso se utne sal ki nikalna jaiz hai jitne saal ki zakat ke nisab ka malik ho.
1 karod ka malik ho to ek sal ke dhai lakh ke aetibar se das saal ki 25 lakh zakat de sakta hai.lekeen aese gareeb ko itni miqdar me malik banakar de jitni us ki zaroorat ho woh khud qarza ada karne ke bad bhi sahibe nisab na ban jaye aur jo un noton ki akhri tarikh se pehle use istiamal kar sakta ho aur woh pese us ke pas bekar ho jane ka galib guman na ho.
Aur dete waqt bojh utarna aur peson ko sirf zayia hone se bachane ki niyyat na ho balke allah ki razamandi aur gareebon ka aese haalat me taawun aur mal ki niamat ka saheeh istiamal ho jani ki niyyat ho.
Chand salon ki zakat nikalne ke baad har saal hisab karna zarooree hoga ke kitne saal ki kitni wajib hui aur kitni nikli thi aur kitni baqi hai.

Note:agar kisi saal me ye advance zakat nikalne wale admi ka maal bilkul khatm ho gaya yani faqeer ho gaya  ya zakat ke wujoob ke saal ke akhir me nisab ka malik hi na raha fir dobarah maldar ya zakat ke nisab ka malik huwa to us ke liye baad ke saal ki zakat nafal shumar hogi.
Samjh me na aane par ulamaa e kiram se rubaru milen

📚SHAMI 3/220 SE MAKHOOZ MAKTABAH ZAKARIYA

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

✅TSDEEQ MUFTI JUNED PALANPURI SAHAB D.B.MUMBAI

🚗AJMER SHAREEF KHAWAJAH KI NAGRI ME  JAMEEATE ULAMAA E HIND KO 33 WAN IJLASE AAM
13 NAVEMBAR ITWAR KO 4 BAJE SE ISHA TAK BILA TAFREEQE FIRQAH HAR KALMAH GO SE SHIRKAT KARNE KI GUZARISH HAI.

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...