MO'AMIN KE THUK ME SHIFA HAI YE HADIS NAHI
Health in saliva of mo'amin
⭕AAJ KA SAWAL NO.835⭕
Kya mo'amin aadmi ke thuk (saliva) me shifa hai ?
🔵JAWAB🔵
Mo'amin aadmi ke thuk me shifa hai ye hadis nahi hai, lekin ma'ana ke aitbaar se ye sahih hai,
Kyun ke saheehain me hai ke nabi e kareem ﷺ se jab koi shakhs kisi (marz) ki shikayat karta ya usey fodaa ya zakhm hota to aap ﷺ apni ungli yaane angushte shahadat ko zameen se lagate fir usko un par lagate aur farmate "me Allah ke Naam ki barkat haasil karta hun, ye hamari zameen ki mitti hai, jo hum me se kisi ke thuk me mili huwi hai, taa ke hamare bimaar ko hamare Rab ke hukm se shifa ho jaye"
📚Bikhre Moti
Jild 1
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
📱💻https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment