AWLAD KI SHADI KAB KARANA ZAROOREE HAI?
⭕AAJ KA SAWAL NO.836⭕
KYA YE BAAT SAHEEH HAI KE AWLAD BALIG HO JAYE FIR BAP US KI JALDI SHADI NA KARAE AUR AWLAD KHUD ZINA ME MUBTALA HO JAYE TO BHI US KA ZIMMEDAR US KA BAP HAI ?
🔵JAWAB🔵
ji han ye baat hadees se sabit hai ek shart ke sath puree hadees hasabe zail hai
✪ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya ke
→” Jis shakhs ke yaha ladka peyda ho to use chahiye k wo uska naam achchha rakhe aur use nek aadaab sikhaye ,
→ ( yani shariyat ke ahkaam aur aadaab , zindgi ke islami tareeqe sikhaye taki wo duniya va akhirat me kaamyab aur sar buland ho )
→ Fir wo baalig ho jaye to uska nikaah karade,
→ Agar ladka baalig ho (aur Shaadi ke kharche per woh khud qudrat na rakhta ho ) aur uska baap ( uske sadgi se nikaah ka kharcha bardasht karne per qudrat rakhta ho uske bavjood) uska Nikaah na kare aur fir wo ladka buraai me (zina) mubtala ho jaye to uska gunaah Baap per hoga, ”
Mishkaat, 2/271
✪ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
→” Toraat me likha hua he k jis shakhs ki Ladki ki umar 12 saa (Baalig) ho jaye aur woh (Jod ka rishta milne ke bavjood) uska Nikaah na kare,
→ Fir wo Ladki burai ( yani badkaari vagera ) me mubtala ho jaye to uska gunaah uske baap per he,
Mishkaat, 2/272
aajkal Internet ke is daur me awlad ko pakdaman rakhna baap ki zimme zarooree hai ke sadgi se bhi nikah ki qudrat ho jald nikah karade.
📗Izdiwaji Zindgi ke Shara’i Masail aur Unka Hal,safa 39,40
✏HAQ KA DAYEE ANSAR AHMAD
®TASDEEQ WA TASHEEH IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe www.aajkasawal.page.tl
No comments:
Post a Comment