Thursday, November 10, 2016

Mavjoodah haalat me lambi raqam ho aur bank me khata na ho ya bank me line zayadah ho ya aur koi maslihat ho to kiya ek lakh ke badle nabbe hazar le sakte hai? Us ki jaiz shakal kiya hai?

⭕AAJ KA SAWAL NO. 838⭕
Mavjoodah haalat me lambi raqam ho aur bank me khata na ho ya bank me line zayadah ho ya aur koi maslihat ho to kiya ek lakh ke badle nabbe hazar le sakte hai?
Us ki jaiz shakal kiya hai?

🔵Jawab🔵

Ek lakh ke badle nabbe hazar lena soodi muaamalah aur haraam hai,

us ka jaiz hilah mavjoodah haalat me ye hai ke ek lakh ke badle ek lakh hi diye jaye fir alag se das hazar rupiya diya jaye aur kaha jaye ke aap ne mera ye kaam kiya aur aap khud in badi noton ki chhuti not karawoge us me jo mehnat hogi us ke badle me aap ko de raha hun.

Dusri surat ye hai ke ek lakh ke badle me ek lakh lana tay karo, ke tin din baad lakar dunga, aur us ek lakh rupiye lekar qabza kar lo, aur kaam ki mehnat, bank me jana, line me khada rehna, us ki mazdooree tay kar lo.

maslan 10-15 hazar rupiye ye kaam karne ke me lunga to ye bhi jaiz hai, ye hile sirf mavjoodah halat me pareshani se bachne ke liye hai, jab ye pareshaniyan khatm ho jaye to in hilon ki shareeat me ijazat nahi hogi.

Pehle hila hazrat maulana khalid saifullah brahmani d.b.ne irshad farmaya hai.

📗MUAJAMAH LUGATUL FIQHI

📝IMRAN ISMAIL MEMON SURAT

MUFTI JUNED PALANPURI MUMBAI KE EK FATWE SE MAKHOOZ

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...