Tuesday, November 1, 2016

SAFAR KE MAHINE KE CHAND GALAT AQAAEED

SAFAR KE MAHINE KE CHAND GALAT AQAAEED

⭕AAJ KA SAWAL NO. 830 ⭕

*Mufti sahab,*
*Safar ka mahina shuru ho gaya hai, aur hamare yahan is mahine ko manhus samjha jaata hai ke is mahine me balaayen taklifen nazil hoti hai.*
*To aap se guzarish hai ke mo'tabar hawalon ke saath is baat ki wazahat farmayen ke kyaa ye sahih hai ya nahi ?*

🔵JAWAB🔵

Rasulullah ﷺ Ne Irshad Farmaya "Safar ke Mahine Me Bad Shagooni Lena, Shaintani pakad Or Nahoosat ke Asraat Koi Cheez Nahi Hai."

(Bukhari Shareef)

"Beemari, Shaitaani Girift, Sitaaron Ki Gardish Or Nahoosat Ka Safar ke Mahine Se Koi Talluq Nahi.

(Muslim Shareef) 

Tashreeh :- Safar Ka Mahina Bhi Mubarak Mahina hai, Jisko Safar Al-Muzzaffar Kehte Hai, Yaani Barkaton Wala Mahina, Ye Mahina  Bhi Mubarak Hai Muharram Ki Tarha,

Aap ﷺ ke Zamane Me Log Is Mahine  Me Shaadiyaan Nahi Karte The, aur Is Mahine Ko Manhoos Kehte The, ke Is Mahine me Aasmaan Se Balaaein Utarti Hai, Jo Ke ek Fuzool aur Galat Baatein Logo Ki felayi Huwi Hai.

Rasulullah ﷺ Ne irshad farmaya Ke "Beemari Me chhot chhat Ko Maanna (Yain Beemari Kisi Ki Dusre Ko Lag Jana), Parinda Udaa Kar Faal Lena, Ulloo-owl Ki Awaz Se Bad Shagooni Lena aur Safar Ko Manhoos Samajhna Fazool aur Lagwa (Yaani Bekar Be-Haqeeqat) Baatein Hai"

(Sahi Bukhari) 

Safar Ka Mahina Islami Mahina hai,  Safar Al-Muzzaffar Ka Matlab Hai "BARKATO WALA MAHiNA"

Zamana-e-Jahiliat Me Log Safar ke Mahine  Ko Manhoos Kehte The aur Is Mahine Me Shaadi nahi Karte The.

Yehi Haal Aaj Kal Ki Awaam Ka Hai. Aise aqaeed se bachna behad zaruri hai.

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📱💻https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...