⭕AAJ KA SAWAL NO .851⭕
500, 1000 ki note ki samaniyat, paisa hona khatm ho gaya to us ko zakaat me de sakte hai ya nahi ?
us se zakat adaa hog ya nahi ?
🔵Jawab🔵
Samaniyat khatam hone ke baad is ki haisiyat qanoon ki wajha se ek waseeqah:cheque ki maan li jayegi,
Agar zakat lene wala us ko tabdeel karane par qadir hai to jitne rupiye ki us se maaliyat hasil karta hai utne rupiye ki hi zakat adaa huyi samjhi jayegi.
Khulasa yeh hai ke 500-1000 ki notes zakat me dene se puri puri zakat har haal shumar nahin ki jayegi, balke uske badle me market ki value ke hisab se jitne rupiye naye notes ya 100-50 ke notes milte hai ya jitne rupiye ka koi saaman petrol, ticket wagairah khareedta hai utne rupiye ki zakat shumar ki jayegi.
*yaani maujuda halat me jo currency chal rahi hai wo jitne miley utni zakaat adaa hogi*
Haan agar zakat lene wale k paas bank me account hai aur usne apne bank account me ya hospital me 500-1000 ki notes jama kar di jisse usko puri puri raqam mili, kisi tarah ki kami nahin huyi to us surat me zakat bhi puri puri shumar ki jayegi
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
✅TAYEED HAZRAT MUFTI ABDUL QAYYUM RAJKOTI D.B.
NAYIB MUFTI JAMIAA ISLAMIYA DABHEL GUJRAT
®TAS'HEEL MUFTI WASEEM WAGH BAKRIWALA
VICE PRESIDENT JAMIATE ULAMA E SURAT
💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl
💻📱
http://www.deeneemalumat.net
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment