Monday, November 14, 2016

TOKEN KI RAKAM KA HUKM AUR WO WAPAS NA KARNE KI JAWAZ KI SURATEN

💸TOKEN KI RAKAM KA HUKM AUR WO WAPAS NA KARNE KI JAWAZ KI SURATEN

⭕AAJ KA SAWAL NO. 842⭕

*A.*
Soda tay hota hai to kuch rupay batore biaanay-baana-(advance) token ke dete hai agar soda cancel ho to us raqam ko wapas na dena kesa hai?

*B*
Mufti sahab kal sawal no.841 me aap ne soda cancel hone ki surat me biaanah-token wapas dene ka likha tha aesa karne ki surat me khareedar befikr ho jate hai aur kai maheene ke baad bhi makan ka soda cancel kar dete hai, aesa karne bechne wale ko nuqsan uthana padta hai? baaz martabah us ke bharose us se zaid qeemat dene wale baad me aane wale grahak ko ham chhod dete hai, lihaza koi surat aesee bhi bataiye jis se talafi ho aur khareedne wala galat faidah na uthaye

🔴AAJ KA JAWAB🔴

*A*
Mazkoorah surat me woh baana (token money) wapas na karna jaiz nahi, us biaanah-baane ko malik ko lotana zaroori hai, sarkari qayda kuchh bhi ho

📗TASHEELE BAHISHTEE ZEWAR 2/175 SE MAKHOOZ

*B*
Pehli baat to ye hai ke khareedar bechne wale ki razamandi ke bagair jab chahe soda cancel kar hee nahi sakta, bechne wala us ko kharedne par majboor kare, sharaee aitibar se kisi cheez ko khareedne ke baad na lena jaiz nahi, aesa zuban badalne wala aadmi sakht gunehgar hai,
Agar khareedne wala qaabu me nahi aata to zulm aur nuqsan se bachne ke liye
Hazrat mufti rasheed ludhyani r.a. ne is ki talaf ki 3 soorat likhi hai.

1. us makan ko khareedne wale ko filhaal to bech de aur us ko qabza dekar qeemat wasool kar le, fir usee se dobarah biaanah ki raqam kam kar ke khareed liya jaye.

2. woh makaan khareedar ki ijazat le kar bech diya jaye, jitni qeemat kam aaye utni raqam biaanah Se kaat lee jaye, agar zayada qeemat aaye to khareedar hee ko wapas kar dee jaye.

3. agar khareedar qabu me na aata Ho to islami haakeem:qazi ko darkhast dekar makan ko bikwaye
upar ki soorat no. 2 ke muwafiq fesla karwaya jaye islami haakim:qazi na ho to ulamaa ki committee se fesla karwaya jaye.

📗AHSANUL FATAWA 6/501

📝MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON SURAT GUJRAT INDIA USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT

http://www.aajkasawal.page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...