NAAPAK AURAT KE HAATH KA KHANA
⭕AAJ KA SAWAL NO. 831⭕
Kiya haizah (mc period) (maasik) wali aur nifas (bachcha paida hone ke baad khun aane) wali aurat ke haath ka khana kha sakte hain ? uske bistar par beth aur let sakte hain?
Dusre mazhab wale ko dekhkar ba'az musalman bhi unko achhut mante hain yeh sahih hai ?
🔵Jawab🔵
Haiz, nifaswali aurat ke haath ka pakaya huwa khana kha sakte hain, uska chhuya huwa paani bhi pi sakte hain, aur uske bistar par zahiri (dikhai denewali) napaki na ho to beth bhi sakte hain.
Islam se pehle aisi aurton ko alag kamre (room) me nikal diya jata tha, Islam ne aurton ko yeh haq diya ke aisi aurton ka bahir ka pura jisam pak hai. lihaza uske saath me sirf so bhi sakte hain.
lihaza aisi aurton ko achhut maanna gairon ka tariqah hai, is tariqah se bachna zaruri hai.
📗NOORUL IZAAH BABUL HAIZ
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India
SURAT RANDER ISLAMI JIMKHANE ME 3:11:16 BA ROZE JUMARAT ASAR SE ISHA HALATE HAZIRAH WA ISLAHE MUAASHARAH KE UNWAN PAR HAZRAT MAULANA SAIYYAD SALMAN NADWI SAHAB D.B.,
HAZRAT MAULANA ASRARUL QASMI MP
HAZRAT MUFTI MAHMOOD BARDOLI SAHAB D.B.AUR DEGAR GUJRAT KE BAHOT SE AKABIREEN WA ULAMAA TASHRIF LAYENGE LIHAZA IS MAVQE PAR GUJRAT ME REHNEWALE HAR FARD SE GUZARISH HAI KE SHIRKAT FARMAKAR APNI IMANI HARARAT AUR BEDARI KA SUBOOT PESH KAREN
No comments:
Post a Comment