Sunday, February 21, 2016

WAZU KA PURA MUKAMMAL TAREEQAH

WAZU KA PURA MUKAMMAL TAREEQAH

⭕AAJ KA SAWAL NO.610⭕

Wuzu ka pura tarika kya he?

🔵JAWAB🔵

Wuzu ke liye kisi matti ke bartan me (tambe, pital vagerah ka ho tab bhi koi haraj nahi magar kalaidar ho) pani lekar pak or unchi jagah bethe or dil me niyyat kare ke me yah wuzu khas allah taala ki khushi or sawab va ibadat ke liye karta hu. badan ka saf karna ya muh dhona maqsud nahi. or niyyat zaban se bhi kar le or yahi iradah har uzva ke dhote vaqt ya masah karte vaqt karte rahe or wuzu shuru kate waqt "BISMILLAHIL AZEEMI VAL HAMDU LILLAHI ALAA DEENIL ISLAAM" padh kar dahne hath ke chullu me pani le or dono hatho ko gatto tak malkar tin bar dhoye. or ungaliyo ka khilal kare or padhe "ALLAHUMMA INNEE AS ALUKAL YUMNA VAL BARAKAH VA A'AUZUBIK MINASH SHUMI VAL HALAAKAH" fir tin mataba dahne hath ke chullu me pani lekar kulli kare or miswak ko dahne hath me is tarah pakde ke chhoti ungli miswak ke ek sire par or angutha miswak ke dusre sire ke qareeb or baqi ungaliyan miswak ke upar ho or yah duva padhe "ALLAHUMMA TAH-HIR FAMEE VA NAVVIR QALBEE VA TAH-HIR BADANEE VA HAR-RIM JASADEE ALANNAR" upar ke danto ki chodayi me dahni taraf se malta huva bayi taraf laye.fir isi tarah niche ke danto ko male. fir miswak ko muh se nikalkar nichod dale yah ek bar huva. iseee tarah tin bar kare or har baar miswak ko muh se nikalkar nichode or naye sire se pani me bhigokar dobarah kare. zaban or talu ko bhi miswak se saf kare or uske bad do kulliyan or kare take tin kulliya puri ho jaye. tin se zyadah bhi na ho.
agar rozadar na ho to us pani se gargarah bhi kare. Kulli karte vaqt Bismillah or Kalmah e shahadat ke bad ye duva padhe, "ALLAHUMMA A'INNI ALAA ZIKRIK VA SHUKRIK VA TILAVATIK KITABIK"
Fir nak me pani dale agar rozadar na ho to us me mubalagah kare yaani nathno ki jad tak pani pahochaye agar rozadar ho to naram gosht se upar na chadaye. baye (ulte) hath ki chhoti ungli se nak ke ander aalaish (mel) khujalkar saf kare or yah dua padhe,"ALLAHUMMA ARIHNI RAAIHTAL JANNATI VA ANTA RAZIN ANNI" or baye hath se  hi nak sinke (jadhe) tin bar nak me pani dale or har bar naya pani le fir dono hatho se sar kae upar se niche ko pani dalkar tamam muh ko malkar dhoye. balo ke ugne ki jagah se thodi (thuddi) ke niche tak or ek kan ki lo (kanpatti) se dusre kan ki lo tak dhoye or yah dua padhe, "ALLAHUMMA BAY-YIZ VAJAHEE BINOORI VAJHIK YAVMA TAB-YAZZUL WUZUH VATAS-VADUL WUZOOH" agar ehram na bandha ho or dadhi gunjan ho to khilal kare, is tarah ke dahne hath ke chullu me pani lekar dadhi ki jad tar (lili) kare ungaliyo ko thodi (hdpachi) ke niche dadhi me is tarah dale ke hathki pusht (pith) gardan ki taraf kar ke ungaliya balo
me dalkar niche se upar, gale ki taraf le jaye isi tarah do martaba or muh dhoye or dadhi ka khilal kare take tin martaba muh dhul jaye or tin martaba dadhi ka khilal ho jaye. muh dhote vaqt orat apni nath (nak ke zewar) ko bhi harkat de. fir tar hath se hatho ko kohniyo tak male khas tor par sardiyo me or fir dahne hath ke chullu me pani lekar tin dafa har ek hath par bahaye or malkar dhoye ke bal barabar bhi sukh na rah jaye.or anguthi, chudi, kangan ko harkat de agarche anguthi dhhili ho dahna hath dhote vaqt  Bismillah, Kalmaye shahadat ke bad padhe "ALLAHUMMA AATINEE BIKITABEE BIYAMINI VA HISABINEE HISABANY YASEERAA" or baya hath  dhote vaqt Bismillah, Kalmaye shahadat ke bad padhe "ALLAHUMMA LA TU'ATINEE BIKITABEE BISHIMAALEE VA LA MINV VARAAI ZAHRI" fir dono hatho ko bhigakar chhoti ungali ki taraf vaali dono hath ki akhiri tin tin ungaliya milakar or dono anguthe or anguthe ke pas ki shahadat ki ungalliya alag alag kar ke peshani par rakhkar dimag ke upar se guddi (bochi) tak le jave. fir guddi se dono hatho ki hatheliya kano ke upar tak jo sar baqi rahta he malta huva mathe tak le jave is  tartib se sare sar ka masah kare fir yah dua padhe "ALLAHUMMA GASH-SHINEE BIRAHMATIK VA ANZIL ALAYYA MIN BARKATIK VA AZILLINI TAHAT ARSHIK YAVMA LA ZILLA ILLA ZILLUK" fir dono kanome anguthe ke pas ki shahadat ki ungaliya ander ki janib se kano ki khaiyo -Dezain me sab taraf khub fere ke kano ki khaiya bhig jaye or kano ki pith par angutho ki pusht ka pani male is tarah kano ka masah kare fir yah duva padhe,"ALLAHMMAJ'ALNEE MINAL LAZEENA YASTAMIUNAL QAVLA FAYAT TABIUNA AHSANAH" fir dono hath ki pusht gardan par male fir yah dua padhe"ALLAHUMMA A'ATIK RAQABATIK MINAN NNAR" fir dahne per ko takhne samet tin bar dhoye  or harbar uski ungaliyo ka baye hath ki chhoti ungli se niche se upar ki taraf khilal karta jaye. Fir baya per dhoye, khilal dahne per ki chhoti unglise shuru kare or baye per ki chhoti ungli par khatam kare, jab dahna per dhoye to yah duva padhe "ALLAHUMMA SABBIT QADAMI ALRI-SIRATI YAVMA TAZILLUL AQDAAM" or baya per dhote vaqt yah dua padhe "ALLAHUMMAJ'ALAL ZAMBI MAGFURA VA SA'AYI MASHKURAA VA TIJAARATEE LAN TABOOR" (baz kitabo me duva ke kalimat mukhtalif he jo yaad ho padh sakta he har uzw dhone ki duaa masnoon nahi hai buzrugon se sabit hai aksar alfaz hadees ke hai
MARAAQIYUL FALAAH) or jab wuzu se faragat pave to kalmaye shahadat padhe or yah duva padhe "ALLAHUMMAJ'ALNI MINATTAVABEEN VAJA'ALNI MINAL MUTA TTAHIREEN" fir sure Qadra yani "Inna anzalna... Padhe fir vaqt makruh na ho to do rakat nafal tahyatul wuzu padhe.

📙Fatava Rahimiyah 7/137,
📗Umdtul Fiqah- 1/126,
📕Masaile wuzu -60

Note: har uzva dhote vaqt durud sharif bhi mustahab he. Agar koi Bismillah,kalmaye shahadat, dua, durud sharif  charo chiz na padh sakta ho to koi ek chiz padh le to bhi mustahab ada ho jayega.
📒Ahsanul fatawa 2/10, 14

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe

www.aajkasawal.page.tl

💻Hamre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liye slamic Group Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...