NIKAH ME BARAABARI
⭕AAJ KA SAWAL NO.603⭕
Kya nikah me itna kaafi nahin ke dono musalman ho? baraabari zaruri hai? baraabari kise kehte hai?
🔵JAWAB🔵
Ji han nikah me baraabari zaruri hai hadees me baraabari ka aetibar kiya gaya hai.
Bagair wali (nikah karvane wala karibi rishtedar) ki ijazat ke bagair gair baraabari wale shauhar se nikah saheeh nahin.
wali ijazat se baalig ladki ka gair baraabari me bhi nikah sahih hai.
baraabari yani ladki ke liye ladka us ke darajah ka aur us ki takkar ka ho be jod na ho aisa na ho ke aapas me mel aur jod baaki na reh sake.woh rishta ladki aur us ke khaandaan ke liye aar-sharm aur zillat ka sabab na ho.
baraabari kai cheezon me hoti hai.jaise ke 1.Nasab aur khaandaan me baraabari hona 2.Musalman hone me 3.Deendaari me 4.Dhandhe aur karobar me
5.maal me
📗DARSI BAHISHTEE ZEWAR 352 SE
📘FATAWA MAHMOODIYAH DABHEL 11/612
MAKHOOZ BA HAWALA
✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe
www.aajkasawal.page.tl
💻Hamre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liye slamic Group Application download Kre.. 👇🏿
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment