GIRI PADI CHEEZ MILNA
⭕AAJ KA SAWAL NO.599⭕
Raaste me koi cheez mili ya dukan par koi grahak koi cheez bhul gayaa aur woh mili to us ka shareeat me kiya hukm hai?
lekar rakh lena kesa hai ?
🔵JAWAB🔵
Aisi cheez agar raste me mili aur ye dar hai ke ye cheez zaye'a ho jaayegi ya koi le lega aur asal maalik tak nahin pahonchayega to us ko maalik tak pahonchane ki niyyat se uthaa lena aur maalik tak pahonchana wajib hai agar gaalib gumaan hai ke us ka maalik khud talaash karega to woh cheez usee ko mil jayegi ye cheez zaye'a nahin hogi to nahin uthana chahiye na uthane se gunehgar na hoga lekin is surat me bhi agar utha liya to asal maalik tak pahonchana waajib hai khud rakh lena durust nahi
📗DARSI BAHISHTEE ZEWAR SAFA 470 SE MAKHOOZ BA HAWALA
✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe www.aajkasawal.page.tl
💻 Hamre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment