NIKAH ME BARAABARI KA AETIBAR KYUN HAI?
⭕AAJ KA SAWAL NO.608⭕
Islam ka qaidah hai ke kisi ko kisi par fazeelat nahin sab khaandaan, Dhandhe(kaarobaar) ameer gareeb allah ke nazdeek baraabar hai fazeelat aur izzat ka daaromadaar taqwa par hai fir nikah me shauhar ka in chizon me baraabar hone ka qaidah kyun hai?
aur fulan khaandaan uncha aur fulan khaandaan nicha aisa aetibar kyun hai?
🔵JAWAB🔵
HAR KHANNDAN KE RAHAN SHAAN AADAT, TAUR TAREEQAH KHANDANI RASMO RIWAJ,ZABAAN, DHANDHE ALAG ALAG HOTE HAI IN TAMAAM CHIZON KA ASAR MIYAN BIVI KE AKHLAQ AUR TABIYAT AUR MIJAZ PAR PADTA HAI ISLAM ME NIKAH KE RISHTE KI NAZAAKAT KA BHI LIHAZ RAKHTA HAI MIYA BIVI KA RISHTA BAAQI RAHE AUR APAS ME KISI QISM KA JHGDA NA HO IS LIYE IN CHEEZON KA APAS ME JOD AUR MILNA ZARURI AUR BEHTAR HAI AUR UNCHE KHAANDAAN AUR UNCHE DHANDHE AUR MAALDAAR AUR DEENDAR LADKI NICHE KHANDAN, GHATIYA DHANDHEWALE,GARIB BEDEEN LADKE SE NIKAH KARE TO URF-SAMAAJ -MUAASHARAH ME USE AEB AUR SHARM SAMJHAA JATA HAI AUR TAANE DIYE JATE HAI HALAN KE YE CHIZEN ALLAH TAALA KE NAZDEEK AEB AUR SHARM KI NAHIN HAI AUR HAR CHEEZ ME ASAL TAREEQAH KA TO SHAREEAT HEE KA HONA CHAHIYE AUR ASAL IZZAT KI CHIZ ALLAH KE NAZDEEK TAQWA AUR PAREZGAREE HEE HAI UPAR KI CHEEZON ME BARAABARI KA AETIBAR US KI FAZEELAT KI DALEEL NAHI AUR BARABAR NA HONA US KE HAQAARAT-ZILLAT KI DALEEL NAHIN HAI LEKIN SHAREEAT NE NIKAH KE NAZOOK RISHTE KO NIBHANE KE LIYE KUFU YANI NIKAH ME BARAABARI KI RIAAYAT KO ZARURI QARAAR DIYA HAI SATH SATH ME NIKAH KE WALI (NIKAH KARNE KA IKHTIYAR RAKHNEWALE RISHTEDAR) KI IJAAZAT SE GAIR BARABARI ME BHI NIKAH KARANE KA IKHTIYAR DEKAR ASAL SHAREE QANOON KO BHI MALHOOZ RAKHA HAI AUR BAALIG LADKI BHI APNI MARZI SE GAIR BARAABARIWALE SHAUHAR SE NIKAH KARE TO WOH NIKAH HEE SAHEEH NA HOGA YE QANOON BANAAKAR GHAR AUR KHANDAN KI IZZAT KO MAHFOOZ RAKHA.
AUR YEH DHIL BHI DEE KE NIKAH KE AMAANATDAR AUR MEHARBAN WALI KO JAB AITIRAAZ NA HO TO WOH APNI LADKI KA JIS SE CHAHE NIKAH KARAA SAKTA HAI SHAUHAR KA SIRF MUSALMAN HONA KAFI HOGA IS IJAAZAT SE SHAREEAT ME NIKAH ME BARAABAREE HAR HAAL ME ZARURI HAI AISA NA HONA BHI MALOOM HO GAYA.
DARSE TIMIZEE 4/349 SE MAKHOOZ IZAFAH E KASEERAH KE SAATH
✏✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe
www.aajkasawal.page.tl
💻Hamre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liye slamic Group Application download Kre.. 👇🏿
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment