⭕AAJ KA SAWAL NO.606⭕
Deendaari aur maal me Baraabari ka kya matlab hai?
🔵JAWAB🔵
Deendaari me baraabari ka matlab yeh hai ke aisa shakhs Jo Deen ka paaband nahin, Luchcha, gunda,Sharabi aur Badkaar ho, Nek bakht paarsa deendaar Aurat ke baraabar nahin samjha jaega.
Aur Maal me baraabari ke ma’ani ye he ke bilkul muflis kangaal mohtaaj shakhs maaldar Aurat ke baraabar ka nahin hai,
Aur agar woh bilkul muflis nahin balki jitnaa mahar pehli raat ko dene ka dastoor-riwaj hai utna mahar de sakta ho, agarche pura mahar ek sath de na sake aur nafqa-kharcha bhi to Apni us bivi ke Jod ka aur munasib de sakta hai to woh baraabari hi ka hai
Aur yeh zaruri nahin ke jitne maaldar ladki wale ho woh bhi utna hi maaldar ho ya uske qareeb qareeb maaldaar ho.
📗 Fatawa Aalamgiri, 2/299
📘DARSI BAHISHTI ZEWAR SAFA 353
✏HAQ KA DAYEE ANSAR AHMAD
®TASDEEQ WA IZAFA IMRAN ISMAIL
MEMON GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe
www.aajkasawal.page.tl
💻Hamre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liye slamic Group Application download Kre.. 👇🏿
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment