Wednesday, February 24, 2016

AHLE SUNNAT WA JAMAAT KI 10 PEHCHAN

AHLE SUNNAT WA JAMAAT KI 10 PEHCHAN

⭕AAJ KA SAWAL NO.613⭕

Takmilah e baharur raiq (allamah ibne nujem ki kitaab jin ki tahqeeq ko barelwi maslak ke ulamaa bhi maante hai) Us me Hazrat ibne umar radeeallahu anhu ki riwayat se Hadees ka khulasah manqool hai ke jis me das alaamaten-nishani ho woh ahle sunnat wal jamaat hain woh das alamaten ye hain.

1.Paanch waqt ki namaz ba jamaat parhna.

2.Sahaabah me se kisi ka zikr burai ke sath na kare na kisi me aib nikaale.

3.Musalman badshah ke khilaf talwar na uthaye yani us se bagaawat na kare.use kafir na kahe

4.apne imaan me shak na kare apne ko wusooq-yaqeen se mu'amin aur muslim kahe (firqah bandi na kare)

5.Bhali aur buri taqdeer par iman rakhta ho ke jo kuchh hai khuda e paak ki taraf se hai.

6.Khuda ke deen me jhagde na kare (bila daleel bahas na kare aur falsafah na baghare)

7.Kisi gunah ki wajah se ahle tawheed- allah ko ek mannewale musalman ko kafir na kahe.

NOTE:Matlab yeh hai ke 72 bahattar firqe sab ahle tawheed wa ahle qiblah hai lihaza un ki takfeer-kafir kehne ki himmat na kare jab tak ke kisi firqe ke mutalliq ye sabit na ho jaye ke woh zarooriyate deen aur kisi aysi bat ka inkar karnewala hai jo khule taur par islam ki bat mani jati hai  aur jab tak yeh sabit na ho jaye ke woh ahkame shariyyah ke tawatur (jo baat huzoor ke zamane se aaj tak lagatar sabit ho) ko nahin manta un ko gair sabit aur gair yaqeenee kehta hai us ko kafir na kahe.
fuqhaa ne farmaya agar 99 ninnanawe aehtimal -chances   kufr ke hon aur ek aehtimal-baat ka matlab islam ka mavjood ho to us ek aehtimal ki wajah se kufr ka hukm na lagaya jaye.

(MAKTOOBATE IMAME RABBANI JILD 3 SAFA 70 MAKTOOB NO.38)

8.Ahle qiblah (qiblah ki taraf namaz padhnewala musalman) me se jo mare us ki namaze janazah na chhodta ho.

9.Safar wa hazar (maqam) me (chamde ke) mozon par masah karne ka qail ho (manta ho)

10.Har nek aur gunahgar ke pichhe namaz ko jaiz samjhta ho.

📘FATAWA RAHEEMIYA 2/56 KARANCHI
BA HAWALA👇🏽

📗TAKMILAH E BAHRUR RAIQ JILD 8 SAFA 182 AWWALE KITABUL KARAHIYAT)

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe

www.aajkasawal.page.tl

💻Hamre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liye slamic Group Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...