KAFIR KO KAFIR KEHNA
⭕AAJ KA SAWAL NO.614⭕
Kafir ko kafir kehna kesa hai?
🔵JAWAB🔵
Hazrat Hakeemul ummat maulana ashraf ali thanvi rahmatullahi alayhi farmate hai ke kandhlah me ek martabah maolviyon ke majma me yahi guftagu-batchit ho rahi thi.
ek jamaat ye keh rahi thi ke kafir kehna tahzeeb-akhlaq ke khilaf hai aur ek jamaat keh rahi thi ke jaiz hai.kyun ke Qur'an me kasrat se kafir ka lafz istiamal kiya gaya hai pehli jamaat ne is ka yeh jawab diya ke Qur'an me khitab ke mavqe par kafiron ko kafir nahi balke یا ایہا الناس ya ayyuhan naas se khitab kiya hai aur hamari guftagu is me hai ke kafiron ko kafir khitab-pukarna kesa hai?
fir ek maulwi sahab ko hakam-fesal banaya gaya ke us ikhtilaf ka fesla karen.unhon ne kahaa ke kafiron ko kafir kaha gaya قل یا اییا الکافرون qul yaa ayyuhal kafiroon.
magar is fesle ka fesla nahin karta hun ke kuffar ko kafir keh kar bila zaroorat khitab nahin kiya gaya aur jahan is lafz se khitab kiya gaya wahan zaroorat thi woh yeh ke un zalimon ne Huzoor صلی عليه وسلم se ek bedhangi darkhast ki ke ek saal Aap hamare mabood ki ibadat kar liya karen ek saal ham Aap ke mabood ki ibadat kar liya karenge. us ke jawab me yeh soorat nazil hui.,
"Un se farmadijiye ke "aey kafiron! me tumhare mabood ki puja na karunga na tum mere mabood ki ibadat karoge na ab na aayindah
to yahan un logon ki ummeedon bilkul khatm karne ke liye sakhti ke sath kafir kehkar un ko khitab kiya gaya.baqi ki aayaat me is lafz se khitab nahi kiya gaya kyun ke zaroorat na thi.
to yeh fesla huwa ke sakht khitab bila zaroorat na karna chahiye han zaroorat ho to jaiz hai
📗MASLAH E TAKFEER BA HAWALA 📘HAQEEQATE TASAWWUF WA TAQWAA
✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe
www.aajkasawal.page.tl
💻Hamare Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liye slamic Group Application download Kre.. 👇🏿
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment