MAALIK. KA NA MILNA
⭕AAJ KA SAWAL NO.601⭕
Agar maalik na mile to Us mili hui cheez ko kya kare?
🔵JAWAB🔵
Bahut talaash karne aur mashoor karne ke baad mayoosi ho jaae ke ab is ka Maalik ise talaash nahin karta hoga aur ab is ka koi waaris na aayega na milega.kitne din talaash kare ya talaash ke baad apne paas rakhe is ki koi muddat sahih qaul me tay nahin jab tak maalik ke aane ki ummid ho talaash jaari rakhe ya woh cheez apne pas mahfooz rakhe jab bilkul ummid na rahe to us cheez ko us ke maalik ki taraf se gareeb ko sadqah kar diyaa jaaye aur agar khud gareeb ho (zakat ka mustahiq) to khud bhi rakh sakta hai lekin agar us ka maalik ya waaris aaye aur woh aap ke sadqah ko manzoor rakhe to use bhi sadqah ka sawaab milega agar manzoor na rakhe to us cheez ke paise us sadqah karnewale ko apni jeb se dene padenge.
📗 DARSI BAHISHTI ZEWAR SAFA 431
📘FATAWA USMANI 3/474 SE MAKHOOZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment