Saturday, February 27, 2016

KUFR KE FATWE ME AEHTIYAT KA AJEEB WAQIAA

KUFR KE FATWE ME AEHTIYAT KA AJEEB WAQIAA

⭕AAJ KA SAWAL NO.615⭕

Kisi ki baat me kufr ka ma'ana nikalta ho to uski taawil-jaiz matlab nikala jaye is ki koi misaal hai? yeh taawil karne ka maslak ulamaa e dewband ka hai ya sab hanafiyon ka hai?

🔵JAWAB🔵

Han taweel karne ki kai misal aur waqiaat hai.
kufr ka fatwa dene me aehtiyat aur taawil karne ke waqiaat hamaare maslake hanafi ko qaaim karnewale imam abu hanifah ke bhi hain.
ek waqiaa pesh karta hun.
Un ke zamaane me ek shakhs ne sawal kiya ke aap us shakhs ke haq me kya farmate hain jo ye kehta hai لا یدخل النار کافر ya'ani koi kafir dozakh me nahin jaayega.aap ne shagirdon se puchha sab ne us par kufr ka fatwa lagaa diya kyun ke ye lafz saraahat-saaf khuda taala ke qaul ke khilaf hai.
Qur'an sharif me saaf aaya hai ke kuffar dozakh me jayenge aur yeh shakhs kehta ke koi kafir dozakh me nahin jayega to us ne Allah ta'ala ke qaul-baat ko jhuthlaya aur aise ka kafir hona zahir hai.
imam sahab rahmatullahi alayhi ne farmaaya "zaahiri ma'ana to yahi hai magar is me koi taawil (jaiz matlab lena) bhi ho sakti hai ya nahin" ?
logon ne kaha aise sareeh-saaf lafz ki kya taawil ho sakti hai?
Farmaya "nahin mere nazdik ek taawil ho sakti hai uska yeh kehna dozakh me koi kafir nahin jayega us ke ma'ane yeh honge ke dozakh me jate waqt koi kafir (inkarkarnewala) na rahega kyun ke qayamat me kuffar ko haq zahir ho jahega aur ye maloom ho jayega ke ham galaty par hai jab apni galty zahir ho jayegi to us waqt ambiyaa ki bhi tasdeeq karenge (sach manenge) aur jannat aur jahannam ki bhi.to woh kafir (jis ke ma'ane inkar karnewale) na rahe.to yeh kehna thik ho gaya ke dozakh me jo koi jayega woh munkir - inkar karnewala  aur kafir na hoga.yeh aur baat hai ke us waqt ka iman nafa na dega.
kyun ke yeh iman bil gaib nahin lihaza maqbool nahin to us shakhsh ka iman kaam aanewaka to beshak nahin lekin iman to hai.
hasil yeh hai ke woh shakhsh goya shar'an kafir hai magar lugatan (dictionary ma'ane me) kafir nahin to yeh jumlah sachcha ho gaya ke woh dozakh me dakhil hote waqt lugwi ma'ne me kafir aur munkir na hoga so
  لا یدخل النار کافر
kehnewala ko kaise kafir kehte ho! jab ke us ke qaul ki ye taawil ho sakti hai."
dekhiye yeh imam sahab rahmatullahi alayhi ne kis qadar aehtiyat ki haalan ke sareeh-saaf kufr tha.

yeh maslak 99 ma'ane kufr ke nikalte ho aur 1ek hee ma'ana iman ka nikalta ho to iman ka ma'ana murad lena chahiye tamam hanafi maslak ka hai.

📘SHARHE FIQHE AKBAR SAFA 199 MASLAKE BARELVI BHI IS KITAB KO MANTE HAI

📗MASLAH E TAKFEER SAFA 198

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe

www.aajkasawal.page.tl

💻Hamare Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liye slamic Group Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...