Thursday, February 25, 2016

KAFIR KAB KEH SAKTE HAI?

KAFIR KAB KEH SAKTE HAI?

⭕AAJ KA SAWAL NO.614⭕

Kisi ko kafir kehna kon si surat me jaiz  aur kon si surat me na jaiz hai?

🔵JAWAB🔵

Kafir badaa sakht lafz hai.kafir  kehna yani us ki zindagi ke tamaam Amal barbaad kar ke us ko jahannam ka mustahiq qaraar dena hai.aur agar woh haqeeqat me kafir na ho to hadees ke mutabiq kufr kehnewale ki taraf lot jata hai.

Is me badi aehtiyaat chahiye kisi ko kafir us waqt keh sakte hain jab woh koi kaam aisa karta ho jis ki taweel -dusra jaiz matlab na nikaala ja sake
masalan koi shakhs boot parasti (murti puja) kisi ke zabardasti kare bagair khullam Khula Karta ho to us waqt usko kafir keh sakte hain aur jab ek shakhs boot parasti se nafrat karta hai zaban se kalmah parhta hai to us ko jhuthlana aur kafir kehne ka kiya ma'ana?
Zaahir bat hai ke kafir asal  me us ko kehte hain jo dil se haq taala ka inkar karta ho aur jo shakhs zubaan se inkar karta hai us ko kafir usee wajah se kehte hai ke hamare nazdeek  allah ko dil se inkar karnewala hai kyun ke us ki zubaan se inkar suna gaya aur zubaan dil ki tarjuman hai to kufr ka hukm is waste lagaya gaya hai ke zubaan ke zariye us ke dil ka inkar maloom ho gaya.

📗MASLAH E TAKFEER IFADAATE HAZRAT HAKEEMUL UMMAT R.A.

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe

www.aajkasawal.page.tl

💻Hamare Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liye slamic Group Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...