KON KIS KE BARAABAR?
⭕AAJ KA SAWAL NO.604⭕
Nasab me baraabari kya hai?
🔵JAWAB🔵
Hindustan me jinhone apne nasab mahfooz rakhe un me nasab aur khaandaan ka aetibar hoga aur nasab mahfooz nahin to dusre aetibar se baraabari karenge.
Aur baraabari sirf ladki wale dekhnge ke ladka ladki baraabar ho ya unche khaandaan ka ho baraabari ki riyaayat ladki ke haq me hai woh kisi kam darjah ke niche aur us ke under me nahin honi chahiye ladki chaahe kisi bhi khaandaan ki ho unche khaandaan ke ladke ke liye nikah us se jaiz hai
Nasab me baraabaari to yeh hai ke shaikh, farooqi, siddiqui, saiyyad, khan pathaan, alwi yeh sab ek dusre ke baraabaar hai agarche saiyad ka rutba badaa hai lekin agar saiyyad ladki ne shaikh ladke se nikah kiya to yun nahin kahenge ke jod-mel ka nikah na huwa balke ye bhi mel hee hai.
mugal, pathan, gujar, teli sab ek qaum hai saiyad aur shaikh ki takkar ke nahin agar saiyad ya shaikh ki ladki ne mugal ya pathan ke yahan shadi ki to kahenge mel ka nikah na huwa ghat kar nikah huwa.
Konsa khaadaan kis ke baraabar hai kon uncha kon nicha is ka aetibar urf-samaj par hai jo nikah ek dusre ke liye aar sharm aur aeb ka sabab na ho woh ek dusre ke baraabari ke samjhe jayenge aur nikah jaiz hoga.
📗DARSI BAHISHTI ZEWAR 352
📘FATAWA MAHMOODIYAH 11/613 se 628
✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe
www.aajkasawal.page.tl
💻Hamre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liye slamic Group Application download Kre.. 👇🏿
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment