Saturday, June 30, 2018

SHAREEK (PARTNER) KI IJAZAT KE BAGAIR RAQAM ISTEAMAL KARNA*

*SHAREEK (PARTNER) KI IJAZAT KE BAGAIR RAQAM ISTEAMAL KARNA*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1401⭕

Hotel me mila huva munafa (profit)  jo hazaron rupiye ki raqam hoti hai, woh zimmedar ke paas rehti hai, woh zimmedar usko fouran taqsim nahin karta aur jab tak taqsim nahin karta woh raqam apne isteamal me laata rehta hai kabhi us isteamal ki ijazat apne sharikon (partners) se leta hai aur kabhi bila ijazat isteamal karta hai.

Lekin taqsim ka jo waqt aapas me pehle se tay huva hai us waqt woh raqam paish bhi kar deta hai, to taqsim se pehle bila ijazat munafa isteamal karna kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Zimmedar ya'ani hotel chalane wale ki haisiyat ajeer (mazdoor) ya muzarib (working partnar) ki hai dono surat me woh munafe ki raqam apne sharikon (partners) ko puchhe bagair apne zaati (personal) isteamal me nahin la sakta isliye woh raqam taqsim se pehle us ke paas amanat hai.

📗MAHMOODUL FATAWA 2/331

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://aajkasawal.page.tl

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...