Tuesday, June 26, 2018

Aurat Ek Waqt Me Ek Se Ziyadah Shadi na karne aur iddat wajib hone ki wajah?

*Aurat Ek Waqt Me Ek Se Ziyadah Shadi na karne aur iddat wajib hone ki wajah?*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1397⭕

ISLAM ME AURAT KO EK HI SHADI KI IJAZAT DEE HAI AUR MARD KO CHAR SHADI KI IJAZAT DEE HAI AURAT KE SAATH AISI NA-INSAFI KYUN?

AUR SHOHAR KE TALAQ DENE YA US KI MAUT KE BA'AD IDDAT PURI KIYE BAGAIR DUSRA NIKAH KYUN NAHIN KAR SAKTI?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Iski bahut si wujoohaat hai jis me se ek wajah niche diye gaye waqiye se ma'alum hogi waqiya pesh kiya jata hai.

*Science ke daayre me Qur'ani Moajizaat ki ek jhalak*

Ek Maahire hamal Yahudi (jo deeni aalim bhi tha) khule taur par kaheta hai ke Rooe Zamin par Musalman Khatoon se Ziyadah paak baaz aur saaf suthri kisi bhi mazhab ki khatoon nahin hai.

Poora Waqiya yun hai ke Albert Einstein Institute se ta'alluk rakhne wala ek maahire jineen (hamal ki janch ka mahir) Yahudi Peshwa Robert ne apne Islam qubul karne ka ealan kiya, jiski vaahid wajah yeh bani ke Qur'an me mazkur Mutallaqa (Talaq Shuda Aurat) ki Iddat ke hukm se waqifiyat aur iddat ke liye Teen Mahine ka jo waqt diya gaya hai uske pichhe ki Hikmat.

Allah ka farman hai

*"والمطلقات یتربصن بأنفسهن ثلاثة قروء"*

[البقرة:228]

"Mutallaqa apne aap ko teen haiz-masik tak roke rakhe"

Is Aayat ne DNA ke research me ek ajeeb jaankari haasil karne ka rasta khola aur yeh pataa chalaa ke mard ki Mani (Sperm) me Protien dusre mard ke muqable 62% percent alag hota hai. Aor Aurat ka jism ek computer ki tarah hai, jab koi mard ham bistari/sohbat karta hai to aurat ka jism mard ke Bacteria ko jazb (Save) kar leta hai.

Is liye Talaq ke fauran baad agar Aurat kisi dusre mard se shadi kar le yaa fir ek waqt me kaee logo ke saath jismani ta'alluk qayim rakhe to iske badan/jism me kayi DNA ki print/chhaap Bacteria ki shakl me jamaa ho jaate hai jo khatarnak Virus ban jaate hai aur jism ke ander jaan leva bimariyan paida hone ka sabab banti hai.

Science ne pataa lagaya ke Talaq ke baad ek Haiz/Maasik guzrne se 32% se 35% percent tak Protien khatm ho jate hain, aur dusre Haiz aane se 67% se 72% tak Mard ke DNA ki chhap kam ho jati hai,
Aur Tisre Haiz me 99.9% ka khatma ho jaata hai aur phir Aurat ka jism baaqi DNA ke asar se bilkul Paak ho jata hai.

Aur bagair kisi side effect va nuksan ke naye DNA ki print Qubul karne ke liye taiyar ho jaata hai. Ek tavaif/call girl kayi logo se ta'alluk banati hai jiski wajah se uske jism me alag alag mardo ki Mani (Sperm) chali jaati hai aur jism me alag alag DNA ki chhap jamaa ho jati hai, aur iske natije me woh kayi badi badi bimariyon ki shikar ho jaati hai.

Aur rahi baat Inteqal huve mard ki Bewa ki iddat to iski iddat Talaq shuda Aurat se ziyadah hai, kyunke gam tension ki wajah se pichhle DNA ka asar jaldi khatm nahin hota aur ise khatm hone ke liye pehle se ziyadah waqt chahiye hota hai isee ki riaayat karte huve aisi Aurat ke liye char mahine aur das din ki iddat rakhi gayi hai,

Farmaane ilahi hai
*"والذين يتوفون منكم و يذرون أزواجا يتربصن بأنفسهن أربعة أشهر و عشرا"*
[البقرة:٢٣٤]

"Aur tum me se jiski wafat ho jaye aur apni biviyan chhode to chahiye ke woh char mahine das din apne aap ko roke rakhe"

Is haqiqat se raah paa kar ek maahir doctor ne America ke do alag alag ilaqo me tehqeeq kee, ek mohalla jahaan African paband Musalman rahete hain wahaan ki tamam Aurto me sirf ek Shohar hi ka DNA ka asar paaya gaya, jab ke dusre mohalle jahaan asal American aazad aurte raheti hain inme ek se ziyadah do teen logo tak ke DNA ka asar paya gaya. Jab doctor ne khud apni biwi ka Blood Test kiya to chonka dene wali haqiqat samne aayi ke iski biwi me teen alag alag logo ke DNA paye gaye, jiska matlab yeh tha ke iski biwi ise dhoka de rahi thi, aur yeh ke iske teen bachcho me se sirf ek iska apna baccha hai.

Iske baad doctor puri tarah kaaeel ho gaya ke sirf Islam hi woh deen hai jo Aurto ki hifazat aur samaaj ki paakizgi ki zamanat (guarantee) deta hai aur is baat ki bhi ke musalman Aurte duniya ki sabse saaf suthri paak daaman va paak baaz hoti hain.

Musalman is Post ko ziyadah se ziyadah Share kare.

و الله اعلم بالصواب

✍🏻TASDEEQ: Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...