Friday, June 1, 2018

AETIKAF KI QISME OR TAREEQAH

*AETIKAF KI QISME OR TAREEQAH*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1374⭕

Aitekaf kise kehte hai?
Us ki kitni qismen hai?
Aur aurton ko aetikaf karne ka kiya tareeqah hai?

🔴JAWAB🔴

★Aadmi ka Aitekaf ki niyyat se aisi masjid me thaherna jis me paancho 5 waqt ki namaz baa-jamaat hoti ho aetikaf kehte hai.

★Aurat ko apne ghar ki masjid me Aitekaf karna chahiye,

★Agar ghar me koi jagah masjid ke liye mutayyan na ho to koi kone (corner) ko makhsus (tay) kar den,

★Aurton ke liye Aitikaf ba-nisbat mardon ke ziyada sahal (aasaan, easy) hai ke ghar me bethe bethe ghar ka karobar bhi ghar ki ladkiyon se leti rahe aur muft ka sawab bhi leti rahe, ★

Magar iske bawajud bhi aurten is sunnat se goya bilkul hi mahrum rehti hai,

★Hanfiyyah ke nazdik Aitekaf ki teen 3 surten hai,

★1. Wajib jo kisi mannat ya nazar ki wajah se ho, jaise yun kahe ke mera fulaan kaam ho gaya to itne din ka Aitekaf karunga, ya bagair kisi kaam par mawquf rakhne ke yun kahe ke meine itne din ka Aitekaf apne upar laazim kar liya to ye Wajib hai, aur jitne dino ki niyyat ki hai utna pura karna wajib hai.

★2. Dusri surat Aitekaf ki Sunnate muakkadah alal kifayah hai,yani pure muhalle ki kisi bhi masjid me aetikaf na hoga to pura muhallah gunehgar hoga.har muhalle~chhoti basti ki kisi bhi ek masjid me aetikaf karna zarooree hai.

📘FATAWW DARUL ULOOM JILD 4 SAFA 501 BAHAWALA DURRE MUKHTAR
Ye Ramzanul Mubarak ke aakhri ashre-das din ka hai ke nabi e kareem sallallahu alayhi wasallam ki aadate sharifa in ayyam ke Aitekaf farmane ki thi,

★3. Teesra nafl Aitekaf, Jiske liye na koi waqt, na ayyam ki miqdaar, jitna ji chahe kar len, hatta ke koi shakhs tamam umr ka Aitekaf ki niyyat kar len tab bhi jaiz hai,

★imam abu haneefah r. a. ke shagird Imaam muhammad rh.Ke nazdeek thodi der ka bhi jaiz hai, aur isi par fatawa hai, is liye har shakhs ko munasib hai ke jab masjid me dakhil ho Aitekaf ki niyyat kar liya kare, ke jitna namaz wagerah me mashgul rahe Aitekaf ka sawab bhi hai.

📗FAZAILE
RAMAZAN

📔BAHISHTI ZEWAR

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe
www.aajkasawal.page.tl

Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/IslamicGroup

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...