Tuesday, December 12, 2017

BANK ME NOKRI (JOB, SERVICE) KA HUKM

*BANK ME NOKRI (JOB, SERVICE) KA HUKM*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1202⭕

Bank me mulazamat nokri ka kya hukm hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Bank ka pura nizam sood (interest) par hota hai aur sood haraam hai

Hadees shareef me sood lene wale, denewale, likhnewale, gawah banne wale aur darmiyan me wasta banne wale par la'anat aayi hai,

Lihaza agar nokri ka ta'alluk soodi muaamale (len-den) wagairah se hai to yeh barahe raast (directly) gunaah ke kaam me madad karna hai,

Lihaza yeh mulazamat na-jaiz hai, albattah aisi koi mulazamat jiska ta'alluq soodi len-den se nahin hai jaise chokidar, jhadu safai karne wala wagairah yeh mulazat jaiz hai iska talluq sirf imarat ki hifazat se hai
agar koi nokri karta ho aur usi par us ka guzar basar ho to koi halal mulazat jald se jald talash kare halal mulazat milte hi is na-jaiz mulazamat ko chhod de.

📗KITABUL FATAWA 5/392

📘KITABUN NAWAZIL 12 /504

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...