Tuesday, December 26, 2017

NEERA KAB  PIYE KAB NAHIN

*🌴🥛NEERA KAB  PIYE KAB NAHIN*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1216⭕

AAJ KAL SARDI KA MAUSAM CHAL RAHA HE... AUR ISEE MAUSAM ME AKSAR LOG NEERA (KHAJOORI,TAAD KE DARAKHT SE NIKALNE WALA RAS) PITE HE SHARIAT KI ROSHNI ME ISKA KYA HUKM HAI AUR KAB SE KAB TAK ISE ISTEMAL KAR SAKTE HAI?

🔵JAWAB🔵

NEERA (KHAJOORI, TAAD KE DARKHT SE NIKALNEWALA RAS) SUBAH ME PEENA JAIZ HAI LEKEEN DHUP PADNE KE BAAD US ME JHAG-FIN NASHA PAIDA HO JATA HAI ISLIYE DHUP PADNE KE BAAD PINE SE NASHA PAIDA NA HUVA HO TO BHI BACHNA CHAHIYE KYUN KE LOGON KE BADGUMAN HONE KA AUR KHUD NASHE WALA BHI PINE ME MUBTALA HONE KA ANDESHA (DARR) HAI.

APNE AAP KO TOHMAT AUR KHATRE KI JAGAH SE BACHANE KA BHI HUKM HAI

📗MAKHOIZ AZ KITABUL FATAWA 6/164

✏IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe
http://www.aajkasawal.page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...