Wednesday, December 27, 2017

MASAH KE LIYE MOZE KAISE HO*

*MASAH KE LIYE MOZE KAISE HO*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1217⭕

Aaj kal bharat aur uske atraf ke mulkon me sardi pad rahi hai aur pair par thandi ka ehsas ziyadah hota hai mene ba'az ulamaa ko dekha ke woh wuzu me moza nahi utarte aur usi par masah kar lete hain to shariat ki roshni me bataye ke masah karne ke liye moza kaisa hona chahiye?

nylon ke moze par masah kar sakte hain?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Teen tarah ke mozon par masah jaiz hai.

1⃣.chamde ke moze jis me panw takhnon tak chhup jaye.

2⃣.Aise uni ya suti moze jis ka tala-shol chamde ka ho.

3⃣.Aise uni ya suti moze jo itne mote aur ghaade ho ke sirf moze pahan kar teen - char mile ka rasta chalne se moze na faten.

⭕Note :- 1 mile = 1.6 kilometres

و الله اعلم بالصواب

📗TA'ALIMUL ISLAM 2/25

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...