Thursday, December 14, 2017

BAHNOI KI WALIDAH, CHACHI AUR MAAMI SE PARDAH

*BAHNOI KI WALIDAH, CHACHI AUR MAAMI SE PARDAH*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1204⭕

A.
Umar bakar ka sala hai to bakar ki walidah se umar ka pardah hoga ya nahi?

B.
Chachi aur mumani-maami se pardah karna zaroori hai? ya dusre mahramon ki tarah hai ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

A.
Pardah hoga woh gair mahram hai.

B.
Yeh dono sauteli ho ya sagi shara'an ajnabi hai unse aisa hi pardah zaruri hai jaisa gairon se.

📗FATAWA MAHMOODIYAH 19/205

(ajnabi isliye hai ke unse khoon ka rishta nahi.

Fil haal chacha aur maamu ke nikah me hai isliye unse nikah haraam hai chacha ya mamu talaq de ya unke intiqal ke baad iddat guzarne ke baad chachi se bhatije ka aur maami se bhanje ka nikah bhi jaiz hai hamare muaashare me unhen gair mahram nahi samjha jaata unse be takallufi barti jaati hai jo sahih nahi, lihaza unse bhi pardah kiya jaaye)

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...