Wednesday, November 15, 2017

KURSI PAR BETHNEWALE KE LIYE SAF ME KHADA RAHNE KA TAREEQA

*KURSI PAR BETHNEWALE KE LIYE SAF ME KHADA RAHNE KA TAREEQA*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1179⭕

Kursi par beth kar namaz padhne wala saf me kese khade ho?
saf lagti hai to khade hone ki surat me un ke per dusron se aage ho jate hai lekin shurooa se bethne ki surat me kandha barabar ho jata hai to kese khade rahe?
khade hone ki.halat me kaya kursi pichhe kar ke peron ko saf me barabar kare?
kya tareeqa apnaye

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Jo shakhs zameen par sajda karne ki taqat nahi rakhta to zahirul riwayat ke mutabiq us se qayam ka fareeza muaaf ho jata hai lihaza saf ki tarteeb me kharabi paida na ho isliye khade ho kar ishare se namaz padhne ke bajaye beth kar hi ishare se namaz padhe aur bethne ki halat hi me saf banaye.
(baz log kursi ke pas khade ho kar namaz padhne ki surat me peron ko saf ki line me barabar karne ke liye kursi pichhe le lete hai is surat me us se pichhe ki saf wale ke liye sajda karne ki jaga nahi rehti isliye utni jaga khali chhod di jati hai lihaza aesa karne se bachna zaroori hai.)

و الله اعلم بالصواب

KITABUN NAWAZIL 4/435 SE MAKHOOZ BA IZAFA
✏Mufti Imran Ismail Memon hanfi

🕌Ustaad e daarul uloom
Rampura surat, Gujarat, India

📲💻www. aajkasawal.Page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...