Wednesday, November 29, 2017

KAFIR KAB KEH SAKTE HAIN?

*KAFIR KAB KEH SAKTE HAIN?*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1190⭕

Kisi ko kafir kehna konsi surat me jaiz aur konsi surat me na jaiz hai?

🔵JAWAB🔵

Kafir badaa sakht lafz hai, kafir  kehna ya'ani uski zindagi ke tamaam Amal barbaad kar ke usko jahannam ka mustahiq qaraar dena hai.
Aur agar woh haqeeqat me kafir na ho to hadees ke mutabiq kufr kehne wale ki taraf lot jaata hai.

Isme badi ehtiyaat chahiye kisi ko kafir us waqt keh sakte hain jab woh koi kaam aisa karta ho jiski taweel (dusra jaiz matlab) na nikaala ja sake,

Masalan koi shakhs boot parasti (murti puja) kisi ke zabardasti kare bagair khullam Khulla Karta ho to us waqt usko kafir keh sakte hain aur jab ek shakhs boot parasti se nafrat karta hai zuban se kalmah padhta hai to usko jhuthlana aur kafir kehne ka kiya ma'ana?

Zaahir baat hai ke kafir asal me usko kehte hain jo dil se haq ta'ala ka inkar karta ho aur jo shakhs zubaan se inkar karta hai us ko kafir usi wajah se kehte hai ke hamare nazdeek Allah ko dil se inkar karnewala hai kyun ke us ki zubaan se inkar suna gaya aur zubaan dil ki tarjuman hai to kufr ka hukm is waste lagaya gaya hai ke zubaan ke zariye us ke dil ka inkar ma'alum ho gaya.

📗MASLAH E TAKFEER IFADAATE HAZRAT HAKEEMUL UMMAT R.A.

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe www.aajkasawal.page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...