Tuesday, November 21, 2017

HAST MAITHUN MUSHT ZANI KI AADAT SE BACHNE KE TAREEQE*

*HAST MAITHUN MUSHT ZANI KI AADAT SE BACHNE KE TAREEQE*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1186⭕

Mushtzani se bachne ke aur is aadat ko chhodne ke kya tareeqe hain?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Mushtzani ki asal wajah shahawat ka ubhar hoti hai us ko control karne ke liye niche diye gaye treeqe apnane chahiye

1. Jald nikah kare Allah taala ne mard aurat ke liye nikah ko shahwat ka ilaaj bataya hai.

2. Bad nazari-buri nigah dalne se bache uski aasani ke liye bande ke *Peero Murshid Hazrat Aqdas Mufti Ahmad Khanpuri db.* ka risalah *Nigah wa sharmgah* ki hiffazat padhe.

3. Fasiqeen (bure dost) khaas taur par aise gunah me fase huve logon ki suhbat se  bache.

4. Tahajjud ke waqt ya isha ke ba'ad do rakaat namaz salatul haajat ki niyyat se pad hkar shahwat par control hone ki rozana dua Allah ta'ala se mange.

5.Allah ka kasrat se zikr kare (chalte firte uthte bethte zikr kare) fikr -soch ki gandagi zikr se door hoti hai.

6. Har mahine 13,14,15 islami taarikh ke rozah rakhe jab iski pakki aadat ho jaye fir bhi shahwat puri na toote to fir hafte pir (Monday), jumerat ke rozah rakhe yeh baat zahan me rakhe pehle din rozah rakhne se shahwat par koi asar nahin padta lagaatar kayi din rozah ma'amul chalate rehne se shahwat tutati hai fir sahri aur iftari me bhi pet bhar kar na khaye warna maqsad faut ho jayega.

7. Ba-wazu rahe hadees me hai wuzu mua'min ka hathiyar hai (Shaitan aur nafs se muqabale ke  liye)

8. Bad nazari ki jaghen baazaar, gali, kuche, chaurahe par baithne se aur akhbar aur magazine me aurton ki tasweer dekhne se bache wagairah

9. Faarig na rahe apne aap ko kaamon me itna mashgul kar de ke sar khujane ki fursat na rahe.

10. Tanhai me na rahe aisi jagah baith kar padhe ke logon ki nigahen padti ho.

11. Bagair nind aaye na lete jab aankh khul jaye to fauran bistar se uth jaye bistar par khaali pade rehne se shahwat bhadakti hai.

12. Baitul khala (lettering) me ziyadah der na lagaye bila zarurat khaas uzw ko haath na lagaye.

13. Fahash aur nanga mazaaq na kare isse shawat ka darwaza khulta hai.

14. Allah mujhe har waqt dekh raha hai iska istehzar(ahsas) rakhe.

15. Qabristan jaya kare taake maut ki yaad aati rahe.

📗HAYA AUR PAK DAMANI SAFA 310,330 TAK

و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon hanfi

🕌Ustaad e daarul uloom
Rampura surat, Gujarat, India

📲💻www. aajkasawal.Page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...