Tuesday, December 20, 2016

BIVI KO ALAG GHAR DENA WAJIB HONE KI SURAT

🏡BIVI KO ALAG GHAR DENA WAJIB HONE KI SURAT🏡

⭕AAJ KA SAWAL NO. 876⭕

Bivi ko apni family se alag rakhne ke bare me shareeat ka kya hukm hai?
aaj kal ghar ghar saas bahu, derani, jethani, nanand bhabhi ke jhaghde hai, to hamen is se bachne kya karna chahiye?

🔵Jawab🔵

Shami me hai agar bivi maaldaar ho to usey alag makan dena wajib hai,
darmiyani darje ki ho to usi makan me ek mustaqil kamre ke alawah bawarchi khana kitchen, bath room aur toilet bhi alag hona zarooree hai,
garerb ho to sirf ek kamra kafi hai,
kitchen, bath room, aur toilet mushtarak join ho to muzaiqah haraj nahi.

📘AHSANUL FATAWA 5/476

📕BA HAWALA RADDUL MUHTAR 2/719

Bivi ko aisa room ke pura qabza aur ikhtiyar bivi ka ho, dena us surat me hai jab shohar ziyadah maaldaar na ho balke darmiyani darje ka ho aur (bivi ko shohar ke gharwalon se takleef na pahonchti ho)
agar maaldaar ho aur is qadar taqat rakhta ho ke alag ghar de sakta ho to, ya bivi ko gharwalon se taklif pahonchti hai to apni haisiyat ke muwafiq bilkul alag mustaqil ghar dena waajib hai, chahe khareed kar ho ya kiraye se ho ya aariyat- istiamal ke liye muft maang kar ho.

📗 FATAWA MAHMOODIYA SAFA 447 JILD 13 SE MAKHOOZ

NOTE:MAKAN DENE ME MIYA BIVI DONO KI MALI HAALAT KO DEKHKAR DARMIYANI QISM KA MAKAN DIYA JAYEGA

📙MAKHOOZ AZ MARIFUL QURAAN JILD 1

Hakeemul ummat hazrat maulana ashraf ali thanvi rahmatullahi alayhi farmate hai ke ek aam galti me aksar mard mubtalaa hai ke alag ghar dena apne zimme wajib nahin aur bivi ke mutalabah ke ba wajood maa baap ke sath me rakhna gunah nahi samjhte. bas apne azeezon-rishtedaron me aurat ko laa dalte hai..
aage likhte hai aaj-kal logon ki tabiyaton aur jhaghdon ke waaqiaat ka taqaza yeh hai ke agar aurat saath me rahne par razi bhi ho aur juda rahne se sab rishtedar nakhush bhi ho tab bhi maslihat yahi hai ke juda -alag hee rakhe, usme hazaaron fitne aur buraiyon ka darwaza bandh hota hai aur is me chand roz ke liye rishtedaron ka munh chadhega, magar is ki maslihat -fayde jab samne aayenge to sab khush ho jayenge, khas taur par chulha-kitchen to zaroor hee alahidah hona chahiye, ziyadahtar aag isee chulhe se bhadakti hai.

📘islahe inqilabe ummat safa 143 ,144 jild 2

Maa baap sath rahne ka hukm dete ho, alag rahne se naaraz hote ho, aur bivi alag rahne ko kehti ho, to maa baap ki baat na manna gunah nahi, alag rakhna wajib hai, maa baap ki itaat wajib ko chhodne me nahi ki jayegi.

📗IMDADUL FATAWA 2/525,526

Note:
maa baap bahot burhe ho, ya maa baap bimari ki wajha se khidmat ke muhtaj ho, aur koi dusra khidmat karnewala na ho, to fir khidmat ka intizam karna ya saath reh kar maa baap ki khidmat zarooree aur muqaddam hai.

✏MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl
💻📱
http://www.deeneemalumat.net
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...