⭕AAJ KA SAWAL NO. 869⭕
DARHI KA KYA HUKM HAI..?
🔵JAWAB🔵
DARHI CHARO TARAF SE EK MUSHT-MUTHTHI SE ZAAID KO KAATNA DURUST HAI.
KAAN KI LAW KE SAMNE KI HADDI KE UPAR KE BAAL SAR ME SHUMAR HOTE HAI. HADDI KE NICHE KE BAAL DARHI ME SHUMAR HOTE HAI USE KATNA HARAAM HAI.
HONTH KE NICHE THODI KE BICH ME JO BAAL HOTE HAIN USE DARHI KA BACHCHI KEHTE HAI. WOH HISSAH BHI DARHI KE HUKM ME HAI USE KATNA BHI HARAAM HAI.
(AL MINHAL 1/187)
BACHHI KE AGAL BAGAL-AAJU BAJU KE BAAL KATNA BHI JAIZ HAI. USE CHHOD DENA BEHTAR HAI.
GAAL KE (HANSTE WAQT) UBHRE-FULE HUWE HISSAH KE BAAL KATNA JAIZ HAI NA KATNA BEHTAR HAI.
( FAIZUL BARI 4/380)
( DARHI AUR ANBIYAA KI SUNNATEN SAFA 70,74)
GARDAN (NECK) KE BAAL MUNDNA DURUST HAI.
(AHSANUL FATAWA 8/76)
DARHI MUNDNA YA EK MUSHT SE KAM KARNA HARAAM HAI AUR AISA GUNAAH HAI JO HAR GHADI HAR LAMHA LAGATAAR HAMESHA JAARI REHTA HAI.
ALLAH IS MUBARAK MAHINE ME HUZOOR صل اللہ علیہ وسلم SE MUHABBAT KI ALAMAT EK MUSHT DARHI RAKHNE KI AUR USE MUNDANE YA EK MUSHT SE KAM KARNE SE BACHNE KI TAUFEEQ ATAA FARMAYE
AAMEEN
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl
💻📱
http://www.deeneemalumat.net
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment