MISWAK KARNA ZARURI HAI
⭕AAJ KA SAWAL NO. 868 ⭕
Wuzu me miswak karna kaisa hai?
Koi na kare to kya hukm hai?
🔵Jawab🔵
Wuzu me miswak karna sunnat e muaqqidah hai. ya'ani wajib ke qareeb hai
Jo jaan bujh kar miswak na kare ya be-tawajjuhi se na karne ki aadat banaa le, to sunnat e muakkdah ko is tarah chhodne wale ke baare me hukm yeh hai ke woh Huzoor ﷺ ki shafa'at se mahroom hoga, woh qayamat ke din dant dapat ka mustahiq hoga. lihaza sunnate muakkadah janbujh kar chhodna us ki aadat banana makruhe tahrimi hai
Huzoor ﷺ ka irshad hai ke agar mujhe apni ummat par mashaqqat ka andesha na hota to har namaz ke waqt miswak ko farz qarar deta.
Dusri hadees me hai woh namaz jo miswak ke saath padhi jaye us namaz ke muqabalah me jo bagair miswak ke padhi jaye 70 guna ziyadah sawab rakhti hai.
Hakimo ne likha hai ke miswak me 70 se bhi ziyadah faidah hai.
Miswak ki itni ehmiyat hone ke bawajood aksar namazi tabqah bhi is aham sunnat se gafil hai,
rabeeul awwal ke is mubarak mahine me ham miswak ki har haal me paabandi ka pakka iradah kare.
📗(Fazaile miswak aur mabadiyate fiqah se makhooz)
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl
💻📱
http://www.deeneemalumat.net
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
(Is islamic Group app ko update karte rahe)
No comments:
Post a Comment