SATAR NAZAR AATA HO AISI TASWEER AUR PUTLE
⭕AAJ KA SAWAL NO. 862
aise putle ya tasweer jis ka sar na ho, ya chehra mitaa diya gaya ho lekeen us ke satar ka hissa nazar aata ho. lekin putla ya tasweer to bejaan hoti hai to kya is ki ijazat hai ya nahi ?
🔵Jawab🔵
putle aur tasweer ke satar ko dekhna bhi aisa hi haraam hai jaise jandar ki tasweer aur putle ke satar ko dekhna haraam hai.
Hazrat maulana hakeem akhtar sahab karanchi رحمت اللّٰہ علیہ farmate the ke aurton ki tasweer aur putle ki qabahat (kharabi) aur ziyada badh jati hai, kyun ke usey gaur se aur jee bhar ke dekhne me us ki taraf se na jhidki hogi na gaali !
aisi tasweer aur putle jin ke makhsoos aaza nazar aate ho unhe dekh kar shahwat bhadak uthti hai,
aisi advertising karna sakht gunah hai, jitne log us ko dekhenge un ke dekhne ka aur un ke burai me mubtala hone ka gunah us putle aur tasweer lagane wale aur us ki ijazat dene walon ko bhi hoga. rozanah hazaron logon ke gunah un ke naamah a amal me transfer hona bandh ho isliye jald se jald aise putle aur tasweer ke satar ko chhupa diya jaye
Allah us ki taufeeq ata farmayen.
📗HADEES KE ISLAHEE MAZAMEEN 14/102 SE MAKHOOZ IFADAT MURSHIDI HAZRAT AQDAS QIBLA MUFTI AHMED KHANPURI D.B.
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl
💻📱
http://www.deeneemalumat.net
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment