Friday, December 2, 2016

READYMADE KI DUKAN PAR JANDAR KE PUTLE (statue)

READYMADE KI DUKAN PAR JANDAR KE PUTLE (statue)

⭕Aaj ka sawal no. 860

Aaj kal taiyyar kapdon aur saadiyo ki dukan me jaandar ke putle rakhe jate hai uske baare me 6 qisam ki logon ki raay aur soch hai. konsi sahih aur konsi galat hai yeh bataane ki guzarish.

1.Aaj kal jaandar putle lagaaye bagair dhandha nahin hota isliye rozee ki majbooree me jaiz.❎

2.Putle (statue) ki aankh par patti bandh dee jaye to jaiz.❎

3.Aankh aur puri naak ko kisi tarah bhi kaat diya ya mita diya jaye to jaiz❎

4.Aisi cheez door karna zaruri hai jiske na hone se insan zinda na rahe ya jaandar ki shakal hi mit jaye✅

5.Dono aankh sapaat (plain) ho to jaiz.❎

6.Putle (statue) ko is zamaane ke ba'az ulamaa jaiz kehte hai kafiron ke mulk me usper amal karna dusron se competition (muqabala) karne ke liye jaiz.❎

Aaj ka jawab

حامدا و مصلیا و مسلما

Sirf No. 4. ki raay sahih hai ya'ani aise uzv (part) ko nikal diya jaye jis ke bagair insan zinda na rahe ya jandar ki shakal baqi na rahe

Jaise ke sar (head) kaat diya jaye ya poora chehra aankh,naak aur munh mita diya jaye.

sirf aankhon par patti bandh den kafi nahin hai patti bandhne se bhi insan zinda rehta hai.

aankh aur pura naak ko mita dena bhi kaafi nahi. kyun ke aankh aur naak kaat dene ya mita dene se insan ki shakal kuchh darje me baaqi rahti hai Dono aankhe sapaat plain karna bhi kaafi nahin hai, aankhe bilkul na hone se bhi jandar kee taarif (definition) se nahin nikalta.

jaandar ka putla haraam hona aisa masla hai jis par arab aur ajam(gair arab) aur dewbandi barelvi sab ulamaa ke ittifaq hai kisi ka ikhtilaf nahin.

rozee ka malik Allah hai aur woh taqdeer me likhi huyi hai usse ziyadah mil nahin sakti masail Qur'an hadis se nikale jate hai is ko sab mante hain lihaza ispar amal karna puree dunya me zaruri hai. chahe islami hukumat na ho.

Hadis me aata hai ke jis ghar me tasweer (jaandar) ya kutta ho wahaan rahmat ke farishte dakhil nahin hote. (Bukhari sharif)

Jab rahmat ke farishte nahin aayenge to shaytani asaraat aate hain aur aisi dukan par jadu aasani ho jata hai. rozi ki barakat jaati rehti hai.

Lihaza un putlon ka ilaaj yahi hai ke unka sar (head) kaat diya jaye ya unka pura chehra aankh naak aur munh mita diya jaye. haan aise putle kharide jiska sar hee na ho ya naak tak ka sar hi na ho.
.
📗( jawahirul fiqah 3/170,227..Se makhooz pure risale me iski bahas hai)
tahtawee babu makruhatis salat
imdadul fatawa 4/ 252 Se makhooz)

🚫koi Aeatarazo ishkal ho to contact Karen

From,  Imran Ismail Memon +9196873 41413

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl
💻📱
http://www.deeneemalumat.net
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...