Tuesday, December 13, 2016

HUZOOR SALALLAHU ALAIHI WASALLAM KE EK SE ZAYADAH DAS NIKAH KARNE WUJOOHAT

🌷HUZOOR SALALLAHU ALAIHI WASALLAM KE EK SE ZAYADAH DAS NIKAH KARNE WUJOOHAT.

⭕AAJ KA SAWAL NO.871⭕

HUZOOR ﷺ NE 11 NIKAH KYUN KIYE IS KI KIYA WUJOHAAT AUR HIKMATEN HAIN?

🔵JAWAB🔵

EK MARD KE LIYE BAHOT SI BIVIYAN RAKHNA ISLAM SE PEHLE TAQRIBAN DUNYA KE TAMAAM MAZAHIB ME JAIZ SAMJHA JATA THA HINDUSTAN, IRAN,MISR,YUNAN,BABIL  WAGAIRAH MULKON KI HAR QAUM ME KASRAT SE SHADIYON KI RASM JAARI THI AUR US KI FITRI ZAROORAHTON SE AAJ BHI KOI INKAR NAHI KAR SAKTA
KRISHNA JO HINDUON ME BADE WAJIBUT TAZEEM MANE JATE HAI UN KI SENKADON BIBIYAN THI  MANUJI JO HINDUON AUR AARYANON ME SAB KE NAZDEEK PESHWA AUR BUZRUG MANE JATEN HAIN DHARM SHASHTRA ME LIKHTE HAIN "AGAR EK AADMI KI CHAR PANCH AORTEN HON AUR UN ME SE EK SAHIBE AVLAAD HO TO BAQI BHI SAHIBE AVLAAD KEHLATI HAI.
📓(MANU ADHYAY 9 SHLOK  183)

HUZUR ﷺ NE 11 AURTON SE NIKAAH KIYAA ISKI BAHOT SEE MASLEHATEN AUR HIKMATEN HAI,
UN ME SE CHAND YE HAI,

1.nabi salallahu alayhi wasallam ka har ek amal ummat-e-musalimah aur puri insaniyat ke liye dastur,qanoon sabaq ki haisiyat rakhta hai isliye aap ki zindagi ka har pehlu ummat ke samne allah ko lana tha aur  andar ki zindagi ke haalat,
jese tanhai Ki ibaadat ka tareeqah us ki mashqqat aur shauq ummat ke samne lana tha.

2.mukhtalif umar aur  mukhtalif khandan aur mukhtalif mijaaz ki aurton Ke sath sadgi se nikah karne ka insano ko tareeqah maloom ho huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ko ma'alum tha ke log khandani riwaj ki wajha se nikah me bahot kharch karenge un ke liye saadgee ke namoone pesh kiye.

3.aisi mukhtalif aurton ke sath rehne ka, un ki tarbiyat karne ka,un ko bardasht karne ka,un ke samne akhlaq pesh karne ka tareeqah ummat ko ma'alum ho,

4.ghar ki chaar deewari jahaan koi dekhne wala nahi hota aur insaan apni bivi bachchon se betakalluf hota hai fir bhi un ke saath husne akhlaq aur un ke huqooq ki puri adaygi ka tareeqah ummat ke samne aaye.

4. bivi ke sath ki tanhai ke masail jis ko bivi hee dekh  aur jaan sakti hai woh bhi ummat tak pahonchane wali kasrat se ho.

5.Aurton ki paaki napaaki ke masail jise gair mahram auraten puchhne me sharm karti hain biviyon ke zariye ummat tak pahonch jaye.

6.aisi aurton ko madad karne ke liye aur Un ke gam ko door karne  ke liye jin ke shauhar-husband jihad me shaheed kar diye gaye aur woh be sarosaman be sahaara reh gai to un ki dildaari,madad aur sahaara dene ke liye nikah kiye.

7. mukhtalif qaumo ke logon ki musalmano ke sath ladaai thi aur woh dushmani rakhte the, unke saath achchhe talluqaat aur rishtedari qaim ho jaye.
Kyunki nikaah ki wajah se Allah ke nabi sallallahu alaihi wasallam unke rishtedaar ban jaye aur unke dushman dost ho jaye aur khun kharaaba ruk jaaye wagairah.

aap ne sab se pehla nikah 25 saal ki umr me ek 40 saal ki burhi bewa hazrat khadeejah radee allahu anha se kiya jo do shohron ko nikah me rah chuki thi dono se awlad thi do ladkon aur teen ladkiyon ki is tarah 5 bachchon ki maa thi.ye nikah ki darkhast khud hazrat khadeejah radee allahu anha ki janib se thi jis ko baargahe nabuwwat me rad-mana na kiya gaya aur nikah kar ke apni aksar umr yani 25 saal un hee ke sath guzaree.aur sab awlad bhi un se hui jab umre shareef 50 saal se bhi aage badh gai tab baqi das nikah sharee zaruraton ki wajha se mukhtalif haalaat me kiye gaye ye sab ki sab bibiyan hazrat aaisha radee allahu anha ke siwa bewa thi aur baaz awladwali thi.aur sab aurten aap SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ke nikah me khush aur sukhi thi.
in sab baton ko dekhkar koi saheeh aql rakhnewalaa aasani se yeh faisalaa kar sakta hai ye tamaam nikah (allah ki panah) nafsani khwahishat pura karne ke liye nahi the.
Jab hazrat khadeejah radee allahu anha ka intiqal huwa us waqt laakhon log islam me dakhil ho chuke the khubsoorat se khubsoorat aur tamaam kunwaree aurten nabi sallallahu alaihi wasallam ke nikaah me aane ko fakhr aur dunya aakhirat me kaamiyabi samjhti thi fir bhi aap ne islami faidah ke liye bewaon se nikah kiya.
huzoor salallahu alayhi wasallam ko jan se maarne ki aur har tarah se badnaam karne ki mushrikeen aur yahoodiyon ne koshish ki bahut se ilzaamat lagaye nabi sallallahu alaihi wasallam ko jadugar pagal shaaeer kaha gaya lekeen in sab nikahon ko dekh kar kisi ne bhi (allah ki panah) shawat parast wagairah is line ke bure alqab kisi ne bhi nahi diye kyun ke huzoor salallahu alayhi wasallam ki pakeezah pakdaamani wali puri zindagi un ke samne thi.
📗SEERATE KHATAMUL AMBIYAA AUR
📘SEERATE MUSTFA SE MAKHOOZ HAZFO IZAFE KE SATH
✏IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

📱 roman Urdu me masaail dekhne ke  liye zarur dekhiye
www.aajkasawal.page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...