Thursday, December 15, 2016

AGAR TALAQ DENI HI HO, TO USKA TARIQAH

☝🏼AGAR TALAQ DENI HI HO, TO USKA TARIQAH

⭕AAJ KA SAWAL NO. 873⭕

Mufti sahab, aaj ka sawal number 811, 812 aur 813 ki posting ke baad ab ye bataane ki guzarish hai ke agar talaq dene hi ki naubat aaye to uska tariqah kya hai ?

🔵Jawab🔵

Aurat  ko haiz, m.c. se baad ki paaki me jis me sohbat na ki ho, talaq ke lafz se sirf ek talaq de,paki ke intizar karne me gussa aamtaur par khatm ho jata hai ya paki ka intizar karne me sohbat ka taqaza paida ho jata hai aur talaq ka iradah hee multaei ho jata hai ye bhi paki me talaq dene ki hikmat hai .sohbat na ki ho Fir bhi talaq dene taiyyar hai to is baat ki daleel hai ke ab is ko bivi me ragbat ya'ane interest nahin hai.

*Har haal me ek hi talaq de, ek saath teen talaq dena haraam Hai.*

Ek hi talaq dene ka faidah Ye hoga ke abhi aur aayindah raasta khula rahega, kyun ke ek talaq ke baad teen haiz - mc tak rujooa karne ka ya'ani talaq ko wapas lene ka ikhtiyar - mauka baaki rehta hai, aur bivi ko agar galaty us kee hai to tambeeh ho jati hai, woh istarah ke ek talaq dete hi khandan me shor mach jayega, bivi ke zahan par bhi asar padega, agar galaty Us ki hai to apni galaty durust karne ke liye aamadah - taiyyar ho jayegi, Ya ghar wale us ko sudharne ke liye taiyyar karenge, ya shohar ki galaty hogi aur shohar ko ehsaas hoga to woh bivi ko sirf itna keh kar ke me talaq se rujooa karta hun bivi ko wapas la sakta hai.

Agar talaq ko wapas na bhi liya to aur mukammal teen haiz - m.c. guzar jaye to bivi nikah se  bilkul nikal jatee hai, Us ko jahaan nikah karna ho kar sakti hai.

Agar dono me se kisi ko bhi apna joda-saathi nahin mila Ya bachchon ki muhabbat ki wajah se ke woh haqeeqee maa ya baap se mahroom ho gaye jaisa ke aksar talaqon me hota hai, bivi ko wapas laana hai to sirf do gawah ke samne Nikah hi padhna padega, halaale ke zaroorat nahin hai.

yeh ek talaq dene ka faidah huwa, jo kaam teen talaq se hota hai wohi kaam ek talaq se bhi hota hai, fir bhi hamare muaasharah me log teen hi talaq ek saath dete hain aur ba'az martabaa to zimmedar hazraat ya wukalaa dilate hai, woh bahut  badi galaty aur gunah ka kaam karte hain, lihaza talaq to ek hi deni chahiye.

📗LUBAB SHARHE QUDOOREE  AUR MURSHIDI HAZRAT MUFTI AHMAD KHANPURI D.B.KE BAYAN SE MAKHOOZ.

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl

💻📱
http://www.deeneemalumat.net

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...