AIDS KE BARE ME ISLAMI RAHNUMAI
⭕AAJ KA SAWAL NO.859⭕
Aaj world Aids day hai aids ki bimari se har saal lakhon log dunya me mar rahe hai is ka koi kamyab ilaj abtak nahi mila hai aur har saal yeh bimari badhti hi ja rahi hai islam har pareshani me insano ko rasta dikhata hai lihaza aids se bachne ke baare me islam duniya ko kya rahnumai karta hai?
🔵Jawab🔵
Aids bimari ki pishangoi(bhawisaywani) Muhammad صل اللہ علیہ وسلم ne chawdah so (1400) saal pehle kar di thi ke jab zina (badkari) khule aam hogi aur us ki.kasrat hogi to taaoon aur aisi aisi bimari paida hogi jo tumhare aglon ne na paai jati thi. <Attargib wattarhib 3/118>
Aids aam hone ki sab se badi wajah zina-badkari ka aam hona hai sab se pehle zina par cantrol karna padega jis din zina par cantrol hoga us din duniya se aids khatm ho jayega is ka jita jagta proof woh mulk hai jahan islami qanoon chalte hai wahan aids ki bimari na hone ke darje me hai.
Islam ka yeh mijaz hai ke woh kisi bhi gunah ko direct nahi rokta balke jin asbab aur wujuhat se woh gunah paida hote hai us se bhi rokta hai jo rasta zinan-badkari tak pahonchane wala hai usi raste par chalne se rokne ke liye woh rasta hi bandh kar deta hai.
lihaza agar waaqayi (sahih ma'ane me) aids se insaniyat ko bachana hai ya zina se apne muaasharah paak karna hai to niche diye gaye usool par amal kare.
1.Aurate aise kapade pehne jisme uska poora jism dhaka ho sar aur sine par dupatta rakha ho.
2.Koi paraye mard (gair mahram) aur kisi parai aurat ke saath kabhi bhi tanhai ikhtiyar na kare kyun ke hadees me hai us waqt tisra shaitan hota hai jo unko burai me daal dega.
3.Ghar ke mard ko chahiye apni ghar aurton ko yeh qanoon bataa de ke kisi gair mahram-paraye mard ko ghar me aane na de.
4.Ghar ke mard ko bataaye bagair koi aurat ghar ke baahar na jaaye.
5.Koi bhi aurat akele door ka safar na kare safar me jaana ho to apne mahram ya'ani shohar, baap, bhai, bete ko saath me lekar hi safar kare.
6.School, Tution, Madrasah me mard ko mard hi padhaye aur aurat ko aurat hi padhaye makhloot mixed ta'alimi nizam ko khatm kiya jawe.
7.Aurat ghar ke baahar khub banao-shingar (make-up) aur khushbu (attar-perfume) lagaa kar aur bajta huwa zewar paayal wagairah aisi cheez jis se mardon ki nigah us par uthe na pahene
8.Mangni (engagement) ke ba'ad hone wale miya bivi ke ghumne jaane aur baat-chit karne par pabandi lagai jaaye.
9.Gair shadi shudah mard aurat ko smart phone na diya jaaye kisi aham wajah se den to use rozanah kisi bhi waqt achanak cheq karte rahe.
10.Gandi litre char ya'ani fahash magazine, novel wagair ghar me na aane den uske padhne par pabandi lagaye
*In baton par amal karna aur gharwalon se karwana shar'an zaruri hai upar ki baato ki ijazat denewala mard sakht gunehgar hai*.
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl
💻📱
http://www.deeneemalumat.net
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment