Thursday, December 8, 2016

BAAL MUBARAK

💐BAAL MUBARAK💐

AAJ KA SAWAL NO: 866⭕

BAAL MUBARAK KE DEKHNE KA KYA HUKM HAI ?

🔵JAWAB🔵

HADEES SHAREEF SE SABIT HAI KE HUZOOR ﷺ NE APNE BAAL MUBARAK SAHABA ​RADEEYALLAHU ANHUM KO TAQSEEM FARMAYE THE.

FATAWA IBNE TAYMIYAH ME HAI HUZOOR ﷺ NE APNE BAAL MUNDWA KAR AADHE SAR KE BAAL ABU TALHA RADIYALLHU ANHU KO DIYE AUR AADHE LOGON KE DARMIYAN TAQSEEM FARMA DIYE.

AGAR KISI KE PAAS HO TO TAJJUB KI BAAT NAHI.

AGAR US KI SAHEEH AUR QABILE AETIMAD SANAD (PURI CHAIN HO KE HAM TAK KIS KIS KE ZARIYE PAHONCHA) HO TO US KI TAAZEEM-ZIYARAT KARNA BAHOT BADI KHUSH NASEEBEE HAI.

AGAR SANAD NA HO AUR BANAWATI HONE KA BHI YAQEEN NA HO TO KHAMOSHI IKHTIYAR KI JAYE, NA US KI TASDEEQ KARE-SACHCHA SAMJHE, NA TAKZEEB-JHUTLAYE, NA TA'AZEM KARE, NA TOHEEN KARE.

BAAL MUBARAK AUR DUSRE NABVI TABARRUKAT KHAIRO BARKAT KO VAJIB KARNE WALE HAI, AUR US KI ZIYARAT SE AJR O SAWAB MILTA HAI.
USE DEKHNE ME MARDO AUR AURTON KA MELAP NA HO,

HAZRAT AAISHAH رضی اللہ عنہا APNE ZAMANE KI AURTO KE MUTALLIQ FARMATI HAI KE RASOOLULLAH ﷺ  IS ZAMANE KI AURTON KO DEKHTE TO UN KO MASJID ME JANE SE MANAA FARMATE.

LIHAZA AURTON KO JAMAA NA KIYA JAYE.
(TABARRUKATE MUBARAKAH KO HAMARE GUNEHGAR HATH NA LAGAYE JAYE.SIRF ZIYARAT PAR BAS KIYA JAYE.)

TABBARUKAT SE BARKAT HASIL KARNE KA SAHEEH AUR JAIZ TAREEQAH YE HAI KE KHAS TAREEKH TAY KIYE BAGAIR LOGON KO JAMAA KARNE KA EHTIMAM KIYE BAGAIR JAB DIL CHAHE ZIYARAT KARE AUR KARAYE.
SAHABA KE ZAMANE ME DASTOOR THA KE KISI NAZAR WAGAIRAH KI TAKLEEF HO JATI TO UMMUL MUMINEEN HAZRAT UMME SALMAH رضی اللہ عنہا  KE PAAS PANI KA PIYALAH BHEJ DIYA JATA. AAP KE PAAS BAAL MUBARAK THE. UN KO CHAANDI KI NALKI ME MAHFOOZ RAKHA THA. PAANI ME US NALKI KO DAAL DETE THE. AUR WOH PAANI MAREEZ KO PILAYA JATA THA.

📚QUSTALANI SHARHE BUKHARI J.8/ S.382)

HAZRAT ASMAA رضی اللہ عنہا  KE PAAS HUZOOR ﷺ  KA KURTA MUBARAK THA. FARMATI HAI KE HAM USEY PAANI ME DHOKAR WOH PAANI APNE BIMARON KO BAGARZE SHIFA MAREEZ KO PILA DIYA KARTE HAIN.

📚SAHEEH MUSLIM 2/190

📗 FATAWA RAHEEMIYYAH
JADEED BABUL AMBIYAA
JILD 3/SAFA 40 SE 42 KA KHULASA URDU KI ASANI KE SATH

HAM AEHLE SUNNAT WAL JAMAAT TABARRUKAT SE BARKAT HASIL HONE KO MAANTE HAI. LEKEEN USEY SAB KUCCH NA SAMJHE. NAJAAT TO AAMAL SE HOGI, BILA AAMAL WA ITTIBA E NABI ﷺ SIRF ZAHIRI MUHABBAT KA DHONG AUR MUHABBAT KE DAWE KAFI NAHI.

GAIR MUQALLID-NAAM KE AEHLE HADEES ASAL WAHABI TABBARUKAT SE BARKAT HASIL KARNE KO NAHI MANTE.

ALLAH ﷻ HAME SACHCHI AUR KAAMIL MUHABBATO ISHQE RASOL ﷺ NASEEB FARMAYEN.

AMEEN

✏MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl
💻📱
http://www.deeneemalumat.net
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...